Post #49
Hadees # 5
Agar Huzur alaihissalam ko ilm e ghaib tha toh bire mauna ke munafikeen dhoke se aap se 70 sahaba e ikram kyo’ n le gaye?? Jinhe waha le jaakar shahid kar diya , is aafat me unhe Huzur Alaihissalam ne kyo’n fasaya??
Jawaab : Ji ha Huzur Alaihissalam ko yeh bhi khabar thi ki bire mauna wale munafikeen hai aur yeh bhi khabar thi ki yeh log in 70 sahaba ko shaheed kar denge , magar saath hi yeh bhi khabar thi marzi e ilahi yehi hai aur un 70 ki shahadat ka waqt aagaya hai , yeh bhi jaante the ki rab taala ki raza per raazi rehna bande ki shaan hai , Ibrahim Alaihissalam toh marzi e ilahi paakar farzand per churi le kar tayar ho gaye , kya yeh begunah per zulm tha?? Balki rajaye maula per raazi thi , accha batao rab taala ko toh khabar thi ki ghosht me zaher hai , aur bir mauna waale un 70 ko shaheed kar denge “wahi” bhej kar kyo’n na rok diya , ALLAH taala samaj de.
Hadees # 6
Hazrat Siddikatul kubra ka haar ghu ho gaya , jagah jagah talash karaya gaya na mila , fir oont k niche se baramad hua , agar Huzur Alaihissalam ki ilm tha toh logo’n ko usi waqt kyo’n na bata diya ki haar waha hai , Maalum hua ki ilm na tha .
Jawaab : Is hadees se n baatana maalum hua na ki na janna aur na batane se sekdo’n hikmate hoti toh kuch hazrat ne chand ke ghatne badne ka sabab daryaft kiya , rab taala ne na bataya , toh kya khuda e paak ko bhi ilm nahi ?? marzi ilahi yeh thi , ki siddika ka haar ghum ho , musalmaan uski talaash me yaha ruk jaaye , zohar ka waqt aajaye paani na mile , tab Huzur alaihissalam se arz kiya jaaye ki ab kya kare tab yeh aayatein tayammum naazil ho jisse Hazrat siddika ki azmat qayamat tak k musalmaan maalum kar le ki unke tufail humko tayammum ka hukum mila , agar usi waqt haar bata diya jaata toh aayat tayammum kyo’n naazil hoti , rab k kaam asbaab se hote hai , ta’ajub hota hai hai ki jo aankh qayamat tak ke haalat ko mushahda kare usse oont ke niche ki chizen kis tarah makhfi(chupi) hai , shaane mehboob alaihissalam pehchanne ki khuda taufik de .
Continue
No comments:
Post a Comment