Post #48
Hadees # 3
Madina paak me ansar baago me nar darakht ki shaak mada darakht me lagate the taaki fal zyada de , is kaam se ansaar ko Huzur alaihissalam ne mana farmaya(is kaam ko arbi me talkih kehte hai) Ansar ne talkih chod di , khuda ki shaan fal ghat gaye , iski shikayat sarkare do aalam ki khidmat me pesh hui , toh farmaya antum aalamu be umure duniyakum , apne duniyawi mamlat tum khub jaante ho , Maalum hua ki aapko yeh ilm na tha ki talkih rokne se fal ghatt jayege aur Ansar ka ilm aapse zyada saabit hua.
Jawaab : Huzur Alaihissalam ka farman , antum aalamu be umure duniyakum , izhare narazi hai ki jab tum sabr nahi karte toh duniyawi muamlaat tum jaano jaise hum kisi se koi baat kahe aur wah isme kuch ta’ammul kare toh kehte hai bhai tu jaan! Isse nafi ilm maksud nahi.
Sharah Shifa Mulla Ali Qari “Bahse maujizat” me farmate hai.
Tarjuma : ALLAH Taala ne Huzur Alaihissalam ko tamam dini wa duniyawi maslehato’n per muttala farmane se khas farmaya , is per yeh aitraaz hai ki Huzur ne Ansar k darakhto’n ki talkih karte hu paya , toh faramaya ki tum isko chod dete toh accha tha , unhone chod diya toh kuch fal hi na aaya ya naakis aaya toh faramaya ki apne duniyawi mamlaat tum jaano , shaikh sanosi ne farmayaki aapne chaha tha ki unko khilafe aadat kam karke baabe tawakkul tak pahucha dein unhone na mana ti farama diya ki tum jaano , agar woh yeh maan jaate aur do ek saal nuksan bardasht kar lete toh is mehnet se bach jaate .
Mulla Ali Qari isi sharah shifa jild 2 safa no. 238 me farmate hai.
Agar woh Hazrat Huzur k farman per saabit rehte toh is fun me faukiyat le jaate aur un se talkih ki mehnat dur hojati.
“Faslul khitab” me Allama kaisari se nakal farmaya.
Huzur Alaihissalam ke ilm se zamin wa aasman me zarra bhar chiz b poshida nahi , agarche aap farmate the ki duniyawi kaam tum jaano .
Hazrat Yusuf Alaihissalam ne kabhi kashtkari na ki thi aur na kashtkaro’n ki sohbat haasil ki magar zaman e kaht aane se pehle hukum diya ki galla khub kasht karo aur farmaya “fama hasadtum fajruhu fi sumbulehi” , ki jo kuch kaato’n usko baal hi me rehne do yaani gehu ki hifazat ka tarika sikhaya , aaj bhi galla ko bhuse me rakh kar uski hifazat karte hai unko kheti baadi ka khufiya raaj kis tarah maalum hua? Aur faramaya “ijalni ala khazainul-arze inni hafizun aalim” , mujhko ko zameen k khazano per mukarar kardo me iska muhafiz aur har kaam janne wala hu , yeh mulki intezaam wagairah kis se sikhe ? toh kya Huzur Alaihissalam ki danai aur Huzur ka ilm Hazrat Yusuf Alaihissalam se bhi kam hai (MAZ ALLAH )
Hadees # 4
Hadees shareef me hai ki Huazur alaihissalam ne kuch biwiyo’n k ghar shahad mulahiza farmaya us per Hazrat Aisha ne arz kiya ki Ya Habib ALLAH aapke dahen paak se magaafir ki buu aa rahi hai toh farmaya ki humne magaafir nahi istemal farmaya , shahad piya hai , fir huzur ne apne per shahad haram karliya , jis per yeh aayat utri “lema tuhirrimu ma allahu laka” maalum hua ki aapko apne dahan paak ki buu ka b ilm na tha ki isse buu aa rahi hai ya nahi .
Jawaab : Iska jawaab isi aayat me hai “tabatgi marjaata azwazika” a habib yeh haram farmana aapki bekhabri se nahi balki un mautreej ajwaaj ki raza k liye hai , fir apne muh ki buu ghaib naih mehsus chiz hai har sahi hu dimag mehsus kar leta hai kya deobandi ambiya k hawas ko bhi naakis manne lage hai .
Continue
No comments:
Post a Comment