Post #27
HADEES # 36:
Usman Bin Af'aan (Razi ALLAH Anhu) aur ILM-E-GAIB E MUSTAFA (ALEH SALAAM)
Hafiz abu Al Qaasim Sulemaan Bin Ahmed Al Tabraani 360 Hijri main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " Tumhare Pass Ahl-E-Jannat main se ek Shakhs aaega, to Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) tashreef le aae, phir farmaya, tumhare pass Ahl e Jannat amin se ek Shakhs aega, to Hazrat Usman (Razi ALLAH Anh) tashreef le aae"..
(Tibraani Al Osatm Jild#7, Page#504, Raqam Ul Hadees 66998, MAtboo'a Maktaba Al Ma'aarif Ar Riyaaz)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayoti 911 Hijri main yahi Riwaayat karte hain:
(Bahawala: Khasais Ul Kubra, jild#2, Page#207, MAtboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Berooot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Tibraani (rehmatULAH Aleh) ne Zaid Bin Saabit (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k mene RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) se suna, k AAP ne farmaya, MEre saath Usman (Razi ALLAH Anhu) chaley, us waqt mere pass ek farishta tha, us na kaha yeh Shaheed honge, aur in ki Qoam in ko Shaheed karegi, aur hum tamaaam farishte in se Haya karte hain"..
(Khasais Ul Kubra, jild#2, Page#207, MAtboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Berooot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijir main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " Bazaar O Tibraani (RehamtULLAH Aleh) ne " Osat" main Hazrat Zubair Bin Awaam (Razi ALLAH Anhu)se Riwaayat ki, inhon ne kaha k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne Fatah E Maakkah k din ek Qureshi Aadmi ko Qatal kar k farmaya, aaj k baad Jabar k saath kisi Qureshi ko Qatal nahin kiya jaega, magar ek Aadmi Usman Bin Af'aan (Razi ALLAH Anhu) ko Qatal karega, Lihaaza tum us Aadmi ko qatal kardena, agar tum ne use Qatal na kiya to tum bakriyon ki Maanind Qatal kar diye jao ge"..
(Khasais Ul Kubra, jild#2, Page#207, MAtboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Berooot)
Imaam Jalaal Ude Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Haakim (RehmatULLAH Aleh) ne Sahi Bata kar aur Behki (RehmatULLAH) ne Abu Hurerah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, unhon ne us Waqt farmaya, jab k Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) ko Balwaaiyon ne Mehsoor kar rakha tha, k MAin ne RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) se suna hai, AAP ne farmaya, Fitnah ) Ikhtalaaf Ronama hoga, hum ne Arz kiya YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) hamaray liye is Waqt kiya Hukum hai??
AAP ne farmaya, Tum Ameer aur in Ashaab k Daaman se Waabasta rehna aur Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) ki taraf Ishaara kiya"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#207, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Abu Eesaa Tarmizi 279 Hijri main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " Hazrat KA'ab Marah Bin Ka'ab (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain, k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne Fitnon ka Zikar kiya, aur bataya, k woh Anqareeb waqey hone waalay hain, us waqt ek shakhs kapray se apne aap ko Dhaanpay huwe guzra, NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne farmaya, yeh Shakhs us Waqt Hidaayat par hoga, main ne kharay ho kar dekha to woh HAZRAT USMAN BIN AFAAN (Razi ALLAH Anhu), mene Phir AAP (ALEH SALAAM) ki taraf Rukh kar k Pucha, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya: Haan"..
(Sunan Tarmizi Baab Fi Manaaqib E Usman Bin Afaan (Razi ALLAH Anhu), Jild#5, PAge#628, Raqam Ul Hadees 3704, Matboo'a Daar Ul Ahya At Turaas, Al Arabi, Beroot)
Imaam Abu Eesaa Tarmizi 279 Hijri main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " Hazrat Abdullah Bin Umar (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Fitnon ka Zikar kiya, Phir AAP (ALEH SALAAM) ne Hazrat USman Bin Af'aan (Razi ALLAH Anhu) k Muta'alliq farmaya, k yeh Shakhs Fitnon main Mazlooman Qatal kiya jaega"..
(Sunan Tarmizi Baab Fi Manaaqib E Usman Bin Afaan (Razi ALLAH Anhu), Jild#5, PAge#630, Raqam Ul Hadees 3708, Matboo'a Daar Ul Ahya At Turaas, Al Arabi, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " Ibn-E-Maaja O Haakim (RehmatULLAH) ne SAHI bata kar, aur BEHKI O ABU NAEEM (REHAMTULLAH ALEH) ne HAZRAT AYESHA SIDDIQUE'AH (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat ki RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne HAZRAT USMAN (RAZI ALLAH ANHU) ko Bulaya aur AAP (ALEH SALAAM) in ki taraf ishara farma rahe tha, aur HAZRAT USMAN (Razi ALLAH Anhu) ka Rang Mutayaggar horaha tha, Aur JAb YOM Ud Daar yaani woh Din aaya, jis main unhen Mehsoor kiya gaya, to hum ne Arz kiya Aap jang nahin karen ge? to Hazrat USman (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya, Nahin, Q k NABI (ALEH SALAAM) ne is Amar ka mujh se Uhad (Waada) liya hain, Lihaaza main is par Apni jaan ka khayaal na rakhunga, aur Saabir rahun ga"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, PAge#207, MAtboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " Haakim O Ibn-E-Maaja Aur Abu naeem (Aleh Rehmah) ne Hazrat Ayesha Siddique'Ah (RAzi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne HAZRAT USMAAN E GANI (RAZI ALLAH ANHU) se farmaya, Bila Shuba ALLAH TA'ALA tumhen ek Qameez Pehnae ga"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#208, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, BerooT)
Continue
No comments:
Post a Comment