Post #28
HADEES # 37:
MUNAAFIQ ki KHABAR DENA:
IMAAM JALAAL UD DEEN SAYOOTI 911 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Muslim (RehmatULLAH ALEH) ne Abi Hameed (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k hum RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) k Hamrah the, Nasraaniyon k Hamaly ki khabar suni kar, Tabook ki taraf Rawaana huwe, Doraan E Safar Waadi E Qiraa'a main ek Khaatoon k Baag k paas se Guzre, Sarwar-E-Qonen (Aleh Salaam) ne farmaya, tum us Baag ki khajooron ka Takhmeena lagao, hum ne Takhmeena lagaya, HUZOOR (ALEH SALAAM) ka Andaaza 10 Wusaq tha, us Aurat se kaha tum apni Khajooron ka naam tol kar lena, aur hum INshaALLAH tumhare Paas wapis aaenge, Hum medaan E Tabook main the, k ek Roz AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Aaj Raat main Shadeed Huwa, aur Sakht Jharken chalen ge"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#1, page#458, Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)
Imaam Muslim (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:
TArjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Irshaad farmaya, Yeh Aandhi kisi Munaafiq ki Moat ki Alaamat hai, phir jab hum Madinay Puhnchay to Maaloom huwa, Munaafiqeen ka Peshwa mar chuka tha"..
(Muslim Shareef, Kitaab Us Sifaat Ul Munaafiqeen)
Imaam Abdul Maalik Bin Hasshaam 213 Hijri main likhte hain:
TArjuma: " Munaafiqeen k Sardaaaron main se ek Sardaar aaj mar gaya, Rafa'a Bin Zaid Taaboot ka Ta'alluq bhi isi Qabeelay se tha, Jab HUZOOR (ALEH SALAAM) Gazwah Bani Mustalaq se Waaapis Tashreef laa rahe the, to Raastay main Shadeed Aandhi ka saamna karna para, Musalmaan use Dekh kar bhaaag gae, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, Khofzada hone ki Zarurat nahin, yeh Aandhi Kufaar k Azeem Sardaaron main se ek Sardaar ki Moat k liye Aai hai, Jab HUZOOR (ALEH SALAAM) Madina E Teba main Ronaq Afroz hogae, to Maaloom huwa, k Rafa'a Bin Zed isi Din Mara tha, jab Shadeed Aandhi aai thi"..
(As Seerat Un Nabuwwiyyah Al Maaroof, Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#2, Page#60-61, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Yahi Imaam Abdul MAalik Bin Hasshaam 213 Hijri main dusri jagah Likhte hain:
TArjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya is Aandhi se na daro, yeh Aandhi ek Baray Munaafiq ki wajah se chali hai, jab Sahaba Madina E Teba Puhnchay to, unhon ne Rafa'a Bin Zaid ki Moat ki khabar suni jo Bani QenQah se Ta'alluq rakhta tha, yeh yahoodiyon ka ek sardaar tha, aur Munaafiqon ki Panah Gaah tha, aur yeh usi din mara jis Roz Aandhi chali thi"..
(As Seerat Un Nabuwwiyyah Al Maaroof, Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#4, Page#255, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Haafiz Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya yeh Aandhi kisi Munaafiq ki Moat ki Alaamat hai, phir jab hum Madinay puhnchay to Maaloom huwa, Munaafiqeen ka Peshwa Foat hogaya"..
(Dalael Un Nabuwwah, Jild#4, Page#61, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, ek Munaafiq ki Moat ki wajah se yeh Aandhi bheji gai hai, jab hum Madina Teba Puhnchay to ek Bohat Bara Munaaafiq Mar chuka tha"..
(Musnad Ahmed, Jild#3, Page#315, Raqam Ul Hadees 14418, Matboo'a Mosasta qurtuba Misar)
Imaam Abi Al Farj Abdul Rehman Al Jazwi 598 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: "HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, yeh Aandhi MAdina E Munawwarah main ek Munaafiq k Marne ki wajah se Chal rahi hai, Phir jab hum MAdina Puhnchay to Waqa'i Munaafiqeen main se ek bohat Bara Munaafiq isi din Jahannum O Asal ho chuka tha"..
(Al Wafa, Ba Hawal-E-Mustafa, Jild#1, Page#310, Matboo'a Mustafa Al Baabi, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAAM) ne farmaya, yeh Aandhi ksi Munaafiq ki Moat ki Alaamat hai, phir jab hum Madina Puhnchay to Maaloom huwa, Munaafiqeen ka Peshwa Foat hogaya"..
(Khasais Ul Kubra,Jild#1, Page#391, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Muhammad Haaroon Ma'aawiyah Deobandi Likhte hain:
" Hazrat Jaabir (Razi ALLAH Anhu) se Riwaaayat hai, k ekDafa RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ek Safar se Waapis Tashreef la rahe the, jab Madinay k Kareeb puhnchay to ek Shadeed hawa chali, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmya, yeh Hawa ek Munafiq ki Moat k liye chali hai, lihaaza jab AAP Madina main Daakhil huwe to logon ne khabar di k AAJ Rafa'a Bin Zaid mar gaya hai, yeh Shakhs Fil Haqeeqat Bohat Bara Munaafiq tha"..
(Khusoosiyaat E Mustafa (Aleh Salaam), Jild#2, PagE#250, Matboo'a Daar Ul Isha'at Karachi)
FAISLA AAP KHUD KAREN.. k Itna Kuch Batane k Baad bhi kiya NABI (ALEH SALAAM) ko GAIB ka ILM nahin??
Continue
No comments:
Post a Comment