Post 29
HADEES # 38:
WOH MAAAL KAHAAAN HAI JO TUM MAKKAH MAIN DAFAN KAR K AAE HO:
Imaam Ahmed bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Imaam Muhammad Bin Ishaaq (RehmatULLAH Aleh) ne Bayaan kiya k jis Shakhs ne Akrama (RehamtULLAH ALEH) se Suna, us ne Mujh se yeh Hadees Bayaaan ki k, Akrama (RehamtULLAH ALEH) HAZRAT IBN-E-ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat karte hain, k Jid SHAKHS ne JANG-E-BADAR main ABBAS BIN ABDUL MUTAL'LIB (RAZI ALLAH ANHU) ko Giriftaar kiya, woh Abu Ul Yasar Bin Umro the, Un ka Ta'alluq Banu Salma se tha, un se RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne pucha, Abu Ul Yasar tum ne is ko kese Giriftaar kiya tha ?? Unhon ne kaha, is Ma'aamlay main ek Shakhs ne meri madad ki thi, jis ko mene is se Pehle na dekha tha, is k Baad us ki Esi Esi Haeiyyat thi, Tab RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, tumhari Madad ek Mukarram Farishte ne ki thi, aur Abbas (Razi ALLAH Anhu) se farmya, Ae Abbas tum apna Fidya bhi do, aur Apne Bhateejay Aqeel Bin Abi Taalib aur Nofil Bin Al Haaris ka Fidya bhi do, aur apne Haleef Atba Bin Hajdam ka Fidya bhi do, aur jin ka Ta'alluq Banu Al Haaris Bin Fahar se hai, Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne In ka Fidya dene se Inkaar kiya, aur kaha main is Gazwah se pehle Islaam kabool kar chuka tha, yeh Log mujhey Zabardasti apne Saath lae hain, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, ALLAH tumhare Maamlay ko Khoob Jaanne Waala hai, aur agar tumhara, Daaawa Bar Haq hai, to ALLAH tum ko is ki Jaza dega, Lekin tumhara Zaahir Haal yeh hai k tum hum par Hmala Aawar huwe, so tum Fidya Ada karo, aur RASOOL (ALEH SALAAM) us se 20 Okiyah Sona (Bator E Maal E Ganimat) Wasool kar chukay the, ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) ne kaha YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM)!! is 20 Okiyah Sonay ko mere Fidye main Kaat len, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya: NAHIN! Yeh woh Maal hai jo ALLAH ne Humen tum se le kar diya hai, ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) ne kaha, mere Pass aur Maal to nahin hai, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, woh Maal kahaan hai, jo tu ne Makkah se Rawaangi k waqt Umm Ul Fazal k pass rakha tha, , us Waqt tum dono k pass aur koi nahin tha, aur tum ne yeh kaha tha k main is Muhim main Kaam aagaya to, is Maal main se Itna Fazal ko dena, itna Qasham ko dena aur Itna Abdullah ko dena, tab Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne kaha, us Zaat ki Qasam jis ne AAP ko Haq de kar Bheja hai, mere aur Umm Ul Fazal k ilaawah, is sab ko aur koi nahin jaanta, aur ab muhjey Yakeen hogaya k AAP ALLAH k RASOOL hain".. (Subhan ALLAH)
(Musnad Ahmed, Jild#1, Page#353, Raqam Ul Hadees 3310, Matboo'a Mosasta Qurtuba, Misar)
Imaam Ahmed bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Imaam Muhammad Bin Ishaaq (RehmatULLAH Aleh) ne Bayaan kiya k jis Shakhs ne Akrama (RehamtULLAH ALEH) se Suna, us ne Mujh se yeh Hadees Bayaaan ki k, Akrama (RehamtULLAH ALEH) HAZRAT IBN-E-ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat karte hain, k Jid SHAKHS ne JANG-E-BADAR main ABBAS BIN ABDUL MUTAL'LIB (RAZI ALLAH ANHU) ko Giriftaar kiya, woh Abu Ul Yasar Bin Umro the, Un ka Ta'alluq Banu Salma se tha, un se RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne pucha, Abu Ul Yasar tum ne is ko kese Giriftaar kiya tha ?? Unhon ne kaha, is Ma'aamlay main ek Shakhs ne meri madad ki thi, jis ko mene is se Pehle na dekha tha, is k Baad us ki Esi Esi Haeiyyat thi, Tab RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, tumhari Madad ek Mukarram Farishte ne ki thi".. (SubhanALLAH)
(Musnad Ahmed, Jild#1, Page#353, Raqam Ul Hadees 3310, Matboo'a Mosasta Qurtuba, Misar)
Imaam Muhammad Bin Saad 230 Hijri main Likhte hain:
TArjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, k woh Maal kahaan hai, jo tum ne Rawaangi k waqt Makkah Umm Ul Fazal Bint E Haaris k Pass rakha tha, jab k tum dono k Saath koi na tha?? Tum ne un se kaha tha, mujhey is Safar main Moat aagai, to Fazal k liye itna itna, aur Abdullah k liye itna itna hai, Unhon ne kaha, Qasam hai us Zaat ki jis ne Haq k saath AAP ko Mab'oos kiya, k is ka Siwae Mere aur Umm E Fazal k kisi ko ILM na tha".. (SubhanALLAH)
(Tabqaat Ibn-E-Saad, Jild#4, Page#14, Matboo'a Daar Us Saadir, Beroot)
Allama Muhammad Bin Yousuf Al Saalhi 942 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne JANG E BADAR k din Ahl-E-Jahiliyat ka Fidya (400) Darham Muqarrar kiya, aur Hazrat Abbas ne yeh Daawa kiya, k un k Pass Bilkul Maal nahin hai, Tab RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, acha to woh Maal kahaan hai ,jo tum ne Umm Ul Fazal ne mil kar dafan kiya tha, aur tum ne kaha tha, k agar main is Moohim main kaam aagaya, to yeh mera Maal mere Beton ka hai, Al fazal, Abdullah aur Qasam, Hazrat Abbas (Razi ALLAH Anhu) kaha, ALLAH ki Qasam mujhey ab yakeen hogaya, k AAP ALLAH k RASOOL hain, is Baat ka mere aur Umm Ul Fazal k siwa kisi ko ILM na tha"..
(Naseem Ur Riyaaz, Sharah Shifa Ul Qaazi, Jild#4, Page#197, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain:
TArjuma: " Ibn-E-Ishaaq aur Imaam zehri se Naqal karte hain k Hazrat Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne kaha, k YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) mere pass Fidya dene k liye kuch nahin, AAP ne farmaya, woh maal kahaan hai, jo tum ne aur Umm Ul Fazal ne Dafan kiya tha, aur tum ne dam Rukhsat yeh kaha k agar main Mara jaaoun to yeh Maal mere Beton Fazal aur Qasam k liye hai, yeh sunkar Hazrat Abbas (Razi ALLAH Anhu)! ALLAH ki Qasam mujhey Yakeen hogaya, k AAP ALLAH k RASOOL hain, Ba Khuda is Ma'aamlay kja mere aur Umm Ul Fazal k ilaawa kisi ko Qat'an ILM na tha"..
(Khasais Ul Kubra, JILD#1, PAGE#341, Matboo'a Daar Ul Qutub ILMIYAH, BEROOT)
Muhammad Haroon Ma'aawiyah Deobandi Likhte hain:
Hazrat Abdullah Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) aur Umm Ul Momineen Ayesha (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k Jang E Badar main Kaafiron ko Shikast huwi, to HUZOOR (ALEH SALAAM) k chacha Abbas Bin Abdul Mutallaib jo us Waqt Eemaan nahin lae the, woh bhi Aseer ho kar aae the, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Qediyon k Aewaz Fidyah Talab kiya, to unhon ne Arz ki keh mere pass itna Maal nahin k Zar fidyah Ada kar sakun, HUZOOR (ALEH SALAAM ne farmaya, Woh Maal kiya hua, jo tum Umm Ul Fazal (Hazrat Abbas ki Zoja) k pass Dafan kiya hai aur us se keh aae the, k agar main maara jaoun to yeh Maal meri Aulaad k liye hai, Hazrat Abbas (RAzi ALLAH Anhu) ne kaha, YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Khuda ki Qasam is maal ki mere aur Umm Ul Fazal k siwa kisi ko Khabar na thi"..(Musnad E Ahmed)
(Khoososiyaat E Mustafa (ALEH SALAAM), Jild#2, Page#250-251,Matboo'a Daar Ul Isha'at, Karachi)
Faisla Khud karen k Aaya ab bhi HUZOOR (ALEH SALAAM) ko ILM-E-GAIB nahin??
Continue
No comments:
Post a Comment