async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Post 31

Monday, November 2, 2015

Post 31

Post 31

HADEES # 40:

TU USE BAIL KA SHIKAAR KARTE HUWE PAAE GA:

Allama Yousuf Bin Ismail Al Nibhaani 1350 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abi Bin Roman aur Hazrat Abdullah Bin Abi Bakar (Razi ALLAH Anhu)se Marwi hai k NABI (ALEH SALAAM) ne Khaalid Bin Waleed ko Domah k Hukmuraan Akedah ki taraf Bheja, Akedar Nasraani tha. HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Peshan Goi farmai k tum use us Haalat main Paao ge k woh ek Jangli Gaen (Cow) k Shikaar main MAsroof hoga, Lihaaza Hazrat Khalid Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) Rawaana huwe, yahaan tak k Hazrat KHaalid Bin Waleed Qilay k itne Qareeb Puhanch gae Jahaan se Aadmi Nazar Aaskata tha,Raat Chaandni thi, Akeedar apni Biwi k Hamrah Qilay ki Chat par tha,isi Asna main ek Jangli Gaen (Cow) Qilay k Darwaazay k Saath apna Sir Takraaney lagi, Akeedar ki Biwi ne us se Kaha kiya Aap ne Kabhi Aesa Manzar dekha hai?? Us ne kaha nahin, Phir us ki Biwi ne kaha kiya is tarah k Shikaar ko Chora jaa sakta hai? Akeedar ne kaha nahin, Koi yeh Moqa Haath se Zaaya nahin kar sakta, Woh Qilay se Neechey aaya, Hukum diya k Ghoray par Zain rakhi jae, Phir us par Sawaar huwa, aur us k Saath us k Gharaanay k Chand Admi the, woh Apne Shikaar k liye Rawaana huwe to, NABI (ALEH SALAAM) k Qaflay se se Unki Mad Bheeer huwi, Unhon ne use Giraftaar kar liya, aur us k Bhai Hassaan ko Giraftaar kar liya, jis par deebaaach ki Sunehri Qubaa thi, Hazrat KHaalid Bin Waleed ne Use Cheen kar HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Khidmat main Akeedar k Hamrah Bhej diya..

Ibn-E-Ishaaq (RehmatULLAH Aleh) kehte hain k jab Hazrat KHaalid Bin Waleed Akeedar ko le kar NABI (ALEH SALAAM) ki Khidmat main Haazir huwe to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne unhen Jaan Bakhshi farmai, aur Juziyah par Sulah kar li, phir use Riha kar diya, Banu Tay k ek Shakhs Bajeer ne is Waqiyeh ka yun Zikar kiya hai,

Ba Barkat hai woh jo Neel Gaenyon (Cows) ko Haank kar laaney waala hai, mene dekha k ALLAH ar Taalib-E-Hidaayat ko Hidaaya deta hai..

Pas jo Shakhs Tabook Waale NABI se Munharif hota ho, to woh to humen Jihaad ka hukum diya gaya hai..

Behki (RehmatULLAH Aleh) ne Zikar kiya, k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne is Shaair ko Dua dete huwe farmaya, ALLAH tumhary Moun ko Salaamat rakhey. is Dua ka Asar yeh hai k Nawway (90) ki Umar main bhius Shakhs ki na to Daar main Harkat huwi, na us ka koi Daant toota"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#1, Page#461, Matboo'a Daar Ul kutub Ilmiyah, Beroot)

(Tibkaat Ul Kubra Ibn-E-Saad, Jild#2, Page#166, Matboo'a Daar Us Saadir, Beroot)

Imaam Abdul Maalik Bin Hashaam 213 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Hazrat Khaalid Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) ko Bulaaya, aur use Doma k Akeedar ki taraf bheja, yeh Akeedar Bin Abdul Maalik tha, yeh Banu kandah ka ek Shakhs tha, aur Domah ka Baadshah tha, yeh Nasraani tha, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Hazrat KHaalid Bin Waleed se farmaya, Tu Use Bail ka Shikaar karte huwe Paae ga"..

(Al Seerat Un Nabuwwahiyah Al Maaroof Seerat Ibn-E-HAshaam, Jild#5, Page#207, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Fasila khud karen.. k Hazrat KHaalid Bin Waleed ko Batana k woh Akeedar ko ek Bail ka shikaar karte huwe Paaen ge, yeh ILM-E-GAIB hai ya nahin..

Continue

No comments:

Post a Comment