Post 32
HADEES # 41:
WOH DO (2) OONT KAHAAN HAIN, JINHEN TUM NE AQEEQ MAIN FALAAN FALAAN WAADI MAIN CHUPA DIYA HAI:
Imaam Abdul Maalik Bin Hashaam 213 Hijri main likhte hain:
TArjuma: " Hazrat IBn-E-HAshaam (RehmatULLAH Aleh) ne kaha, k kaha yeh jaata hai, k jabHUZOOR (ALEH SALAAM) Gazwah-E-Bani Mustalaq se Waapis huwe, jab k Hazrat Jaweriya (Razi ALLAH Anhu) Aap k Saath thin, AAP (ALEH SALAAM) ne Hazrat Jaweruyah ko Bator E Amaanat ek Ansaari k din, aur Hifaazat ka Hukum diya, HUZOOR (ALEH SALAAM) Madina E Teba puhnchay to, Hazrat Jaweriyah (Razi ALLAH Anhu) ka Baap Haaris Apni Beti ka Fidyah le kar Puhncha, jab Aqeeq k Muqaam par Puhcha to, Apne Ooonton ko dekha jo Fidyeh k tor par laaya tha, use Do (2) Oont bohat Achay lage, aur us ne Aqeeq ki Waadiyon main use Chupa diya, Phir HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Bargah-E-Aqdas main Haazir huwa, Arz ki AE MUHAMMAD Aap ne MEri Beti ko Pakar liya hai, yeh Oont us ka Fidya hain, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, woh Do (2) Oont kahaan hain, jinhen tum ne Aqeeq main Fulaan Fulaan Waadi k Peechey chupa diya hai, yeh sun kar Haaris ne kaha MAIN GAWAHI DETA HUN, k ALLAH TA'ALA k SIWA KOI MAABOOD NAHIN, AUR AAP ALLAH K RASOOL HAIN, ALLAH KI QASAM IS BAAT PAR ALLAH K SIWA KOI AAGAH NAHIN, Haaris Musalmaan hogaya, Saath hi us k Do (2) Betay bhi Musalmaan hogae, aur us ki Qoam k kafi Log bhi musalmaan hogae, Haaris ne Donon Oonton ko laane k liye ek Aadmi bheja, jo in donon Oonton ko le Aaya, Oont HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Bargah main pesh kiya gae, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Hazrat Jaweriyah (Razi ALLAH Anhu) ko Haaris k Hawaalay kar diya, Hazrat Jaweriyah (Razi ALLAH Anhu) ne Islaam kabool kar liya, aur Bohat achi Musalmaan Saaabit huwin, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne un k Waalid ko Daawt-E-NIKAH di, Un k Waalid ne Apni Beti ka Nikah HUZOOR (ALEH SALAAM) se kar diya, aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Chaar so (400) Darham Meher Ata kiya"..
(Al Seerat Al Nabuwwahiyah, Al Maaroof Seerat Ibn-E-Hashaam, Jild#4, Page#259, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Imaam Ali Bin Barhaan Ud Deen Shaafai 1066 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Ziyaad Bayaan karte hain, ALLAH Ta'ALAH ne NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ko Gazwah E Bani Mustalaq main Jaweriya Bint-E-Haaris Bator E Ganeemat Ata farmai, to un ka Baap Haaris un ki Rihaai, k liye Fidyeh le kar Aaya, Jab Aqeeq main Puhncha, to Oont ki taraf dekha, jo Apni Beti k Fidyeh main diye the, us main se Do (2) Oont use Bohat pasand aae, Pas in Donon Oonton ko Waadiye Aqeeq ki ek Ghaati main Gayab kar diya,phir Deegar Oonton ko Hanka kar NABI (ALEH SALAAM) ki Khidmat main Haazir Hogaya, aur Arz ki YA MUHAMMAD! meri Beti AAP k Yahaan Giraftaar hai, yeh is ka Fidyah hai.. NABI (ALEH SALAAM) ne farmaya, woh Donon (2) Oont kahaan hain, jo tum ne Waadiyeh Aqeeq main Gayab kiya hain, Yeh sun kar Haaris ne kaha, k MAIN GAWAAHI DETA HUN K AAP (ALEH SALAAM) ALLAH K RASOOL HAIN, Waqai mene un donon (2) Oonton ko Aqeeq main Gayab kiya, aur Is Baat par Siwae ALLAH k Aur koi Aagah na tha, is k Baad Haaris ne Islam Kabool kar liya"..
(HajjatULLAH Ali Ul Aalameen Fi MojizaatSyed Ul Mursaleen, APge#361, Matboo'a DaarUl Kutub Ilmiyah, Beroot)
Fasila Aap khud karen.. k NABI (ALEH SALAAM) ka batana k Haaris ne Donon Oont aqeeq ki Wadiyon mai Gayab kiya k Yeh Gaib ka ILM hai ya nahin???
Continue
No comments:
Post a Comment