async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Post 33

Monday, November 2, 2015

Post 33

Post 33

HADEES # 42:

US TARAF SE KUCH SAWAAR TUMHAREY PASS AAENGE JO AHL-E-MASHRIK k BEHTAREEN LOG HONGE:

Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain 458 Hijri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " Mazeeda Al Asri Bayaan karte hain, k Ek Dafa NABI E KAREEM (ALEH SALAAM),SAHABA E KARAAM (Razi ALLAH Anhu) k Saath Maho Guftugu the, k Doraan-E-Guftugu Farmaya, k AnQareeb is taraf se Kuch Sawaar tumhare Pass Aaenge, jo Ahl-E-Mashrik k Behtareen log hain, Yeh Irshaad sun kar, Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) Uthey aur us Jaanib Rawana hogae, to 13 Afraad par Mushtamil ek Wafd in se mila, Pucha: kis Qabeelay se Ta'alluq hai tumhara?? to unhon ne Bataya: Hum Bani Abdul Qes se hain"..

(Khasais Ul Kunra, Jild#2, Page#26, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Nibhaani (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:

Tarjuma: " Ibn-E-Shaaheen (RehmatULLAH Aleh) Sakhaar bin Abbas aur Mazeedah Bin Maalik se Riwaayat karte hain, (Yeh Mazeedah Wafd Abdul Qes k ek Rukan the) Woh Kehte hain, k Ashj Abdul Qes Daaren k Raahib ka ek Dost tha, ek Saal is se Mulaaqaat huwi, to us ne Bataya, k Makkah Shareef main ek NABI ka Zahoor hone waala hai, jo Hadiya Kabool karta hai, magar Sadqa nahin khaata, us k Donon Shaanon k Darmiyaaan ek Nishaani hai aur woh Saarey Adiyaan par Gaalib Aajae ga, is k Baad Raahib ki Moat Waaqey hogai, is k Baad Ashaj ne Tehqeeq-E-Haal k Liyeapney Bhaanjey ko MAkkah Shareef bheja, woh Hijrat k Saal aaya, aur NABI (ALEH SALAAM) se Mulaaqaat ki aur Nabuwat ki Nishaaniyon ko Sahi paa kar ISLAM le aaya, NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ne us ko Surah Al Hamd aur Surah Al Alaq ki Taaleem di, is k Baad use Hukum diya, k Ab jaa k Apney Maamoo ko Islam ki Daawat do, Lihaaza us ne Lot kar Apney Maamoo ko tamaam Haalaat se Aagah kiya, jis ki Wajah se Ashaj ISLAM laya tha, Magar ek Arsey tak Apney Eemaan ko Posheedah rakha, phir 16 Mardon k Saath Rawana huwa, aur Madinah Aaya, jis Subah yeh Wafd MAdina Puhncha, usi Raat NABI (ALEH SALAAM) ne Peshan Goi Farma di thi, k Mashriq ki taraf se ek Qaafila Aane Waala hai, jinhen ISLAM k Liye Majboor nahin kiya gaya, Balkey Barza O Ragbat Aarahe hain, in k Rehnuma ki ek Alaamat hai, Lihaaza Ashaj Abdul Qes apni Qoam k Chand Nafoos k saath aaya, yeh Fatah-E-MAkkah k Saal ka Waqiyah hai"..

(Hajjat ULLAH Ali Ul Aalameen Fi Mojizat SayedUL Mursaleen, Page#365, MAtboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Muhammad Saaad 230 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ne us Raat jis ki Subah ko Banu Abdul Qes ka Wafd Aaya tha, Afaq ki taraf dekh kar Irshaad farmaya, " Mashrekeen ki ek Jama'at Aae gi, jinhen ISLAM k liye MAjboor nahin kiya gaya, un logon ka Haal yeh hai k Safar ki Sobaton ne un k Jaanwaron ko Dubla kar diya hai, in ka Zaad rah khatam ho chuka hai, aur un k Sardar ki ek Nishaani hai, phir Dua Faramai, Ae ALLAH! Abdul Qes ko Maaf farma, Woh Hoosool E Maal k liye mere Pass nahin aae, woh Ahl-E-Mashrik k Behtareen log hain"

(Tabqaat Ul Kiubra, Ibn-E-Saad, Jild#1, Page#314, Matboo'a Daar Us Saadir Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Haakim (RehamtULLAH Aleh) ne Hazrat Anus (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k Ahl-E-Hijar se Abdul Qes ka ek Wafd RASOOL (ALEH SALAAM) ki Khidmat main Baaryaab huwa, woh Bethey the, k Achanak AAP (ALEH SALAAM) ne un ki taraf Mutawwajjah ho kar farmaya: " Tumharey Yahaan Kai Qisam ki Khajooren hoti hain, aur tum falaan Qisam ki KHajoor ko is naam se Pukaarte ho, yeh sun kar Ek Shakhs Bola, YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Meray Maa Baap AAP Par Qurban hon, Agar AAP (ALEH SALAAM) ki Wilaadat Muqaam E Hijar main hoti, to is se Ziyaadah AAP in k Muta'alliq ILM na rakhte, main Gawahi deta hun, AAP (ALEH SALAAM) ALLAH k RASOOL hain.. HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, Jab tum meray pass Bethay to Tumhari Sar Zameen utha kar meray Saamney kar di gai, aur mene use ek Siray se Dusray tak Bil Tafseel Dekha, tumhari Khajooron main se Behtareen khajoor "Barni" hao jo Bemaari dur karti hai, aur khud is main koi bemaari nahin"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#27, Matboo'a Daaar Ul Kutub Ilmiyah, beroot)

Muhaddis-E-Kabeer Imaam Muhammad Bin Ismail Bukhari 256 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Mazeedah Abdi (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain k Ashaj (Razi ALLAH Anhu) Pedal chalte huwe, Bargah-E-NABI (ALEH SALAAM)main Haazir huwe, aur Aap (ALEH SALAAM) k haath Mubarak ko Pakar kar Boosaa diya,to NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ne un se Farmaya, k tumharey ander 2 Khaslaten aesi hain, k jin ko ALLAH TA'ALA aur us ka RASOOL (ALEH SALAAM) pasand karte hain, us ne Arz kiya kya woh aesi Cheezen hain? jin par main PEda huwa hnu, (Yaani Fitrati) ya woh Baad main Peda ki gai hain, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya k Balkay yeh woh Fitri hain, jin par tum peda kiye gae ho, Ashaj (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya, Sab Taareefen ALLAH TA'ALA k liye hain, jis ne Meray ander aesi Khaslaten Peda farmain, jin ko ALLAH TA'ALA aur us ka RASOOL (ALEH SALAAM) Pasand farmatey hain"..

(Tibraani Kabeer,Jild#20, Page#345, Raqam Ul Hadees 812, Matboo'a Maktab Ul Uloom O Al Hakam Al Mosool)

Continue

No comments:

Post a Comment