Post #34
HADEES # 43:
ISI TARTEEB SE KHULAFA HONGE:
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Abu Ya'Ali O Haakim aur Abu Naeem (RehmatULLAH Aleh) ne Hazrat Ayesha Siddiqe'ah (Razi ALLAH Anhu) Se Riwaayat ki k, Unhon ne Farmaya, NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ne Masjid ki Bunyaad k liye Sab se pehle khud Pathar Uthaya, AAP k Baad Hazrat Abu Bakar Siddique (Razi ALLAh Anhu) ne PAthar Uthaya, Us Waqt RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne Farmaya, Merey Baad (isi Tarteeb se) yeh Hazraat Khulafa honge"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#194, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " O Abu Ya'Ali O Haaris Bin Usama , Ibn-E-Habbaan O Haakim (RehmatULLAH Aleh) ne Sahi Bata kar, aur Behki O Abu Naeem (RehmatULLAH Aleh) ne Safeena (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k, Jab NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ne Masjid ki Bunyaad rakhi, to Hazrat ABu Bakar Siddique (Razi ALLAH Anhu) Pathar Laae, AAP (ALEH SALAAM) ne use rakha, Phir HAZRAT UMAR FAAROOQ (RAZI ALLAH ANHU) Pathar Laae, AAP (ALEH SALAAM) ne Use Rakha, Phir Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) PAthar Laae, aur AAP (ALEH SALAAM) ne use RAkha, us waqt AAP (ALEH SALAAM) ne Farmaya, Meray Baad isi Tarteeb se Khulafa Hongey"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, PAge#194, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Abu Naeem (RehmatULLAH Aleh) ne Qutba Bin Maalik (Razi ALLAH Ahu) se Riwaayat ki, unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) k Pass Haazir huwa to, AAP k Saath Hazrat Abu Bakar O Umar O Usman (Razi ALLAH Anhu) they, aur AAP Masjid E Quba ki Taameer Farma Rahe the, aur Haan Aleka, AAP k Saah sirf yahi 3 Hazraat hain, AAP (ALEH SALAAM) ne Farmaya, Meray Baad yahi 3 Saahibaan khilaafat hain"
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#195, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Faisla Aap khud Kar sakte hain.. JAzakALLAH
Continue
No comments:
Post a Comment