Post #35
HADEES # 44:
SAB SE PEHLE MUJH SE HAZRAT FATIMA (RAZI ALLAH ANHU) MILENGI:
Imaam Abu Eesa Tarmizi 279 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Umm Ul Momineen Hazrat Aayesha (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karti hain, k Mene Hazrat Fatima (Razi ALLAH Anhu) se Ziyaadah, RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) k Kareeb kisi ko nahin dekha, jo apni Nashisht Barkhuwaast aur Zindagi k Aam Maamoolaat main AAP (ALEH SALAAM) k Sab se ziyadah Mushaahib ho, jab woh NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) k Paas Aatin to AAP (ALEH SALAAM) kharey hojaate, in ko Bosa dete, aur in ko Apney paas Bithaate, jab NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) Bemaar hogae, to Hazrat Fatima (Razi ALLAH Anhu) Aain aur Jhuk kar AAp ko Salaam kiya, aur Sir Utha kar Roney lagin, Phir Dubaara AAP (ALEH SALAM) Par Jhukin aur Sir Utha kar Hansne Lagin, jab NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) Foat hogae to mene un se kaha k jab AAP Pehli baar NABI-E-KAREEM (ALEH SALAM) par jhuki thin, to Roney lagin thin, phir jab AAP dusri baar jhukin aur Sir Uthaya to Hansne Lagin thin, is ka kiya Sabab tha ?? Hazrat Faatima (Razi ALLAH Anhu) ne Farmaya, main AAP ka Raaz bata rahi hun, pehli baar AAP (ALEH SALAAM) ne Bataya tha k, AAP is dard aur is Bemaari se Foat hojaenge, to main Roney lagi, phir dusri baar AAP (ALEH SALAAM) ne yeh bataya tha, k AAP k Aehel main se sab se pehle MAIN AAP k Saath milongi, to main Hansne lagi"..
(Sunan Tarmizi Baab Fazal-E-Fatima Bint-E-Muhammad (Aleh Salaam), Jild#5, Page#700, Raqam Ul Hadees 3872, Matboo'a Daar Ul Ahya At'Turaas Al Arabi, Beroot)
IMAAM AHMED BIN HAMBAL ne 241 Hijri main Yahi Riwaayat ki:
(Bahawala: Fazail-E-Sahaba Laa Bin Hambal, Jild#2, Page#764, Raqam Ul Hadees 1233, Matboo'a Mosasta Risala Beroot)
Muhaddis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne faramya, Ae Fatima kiya tum is Baat se Raazi nahin ho kiya k Jahaanon aur is Ummat ki Aurton ki Sardaar ho?? MAin yeh Baat sun kar Hans Pari"..
(Dalael Un Nabuuwaah, Page#98, Raqam Ul Hadees 93, Matboo'a Daar Ul Teba Ur Riyaaz)
FAISLA AAP KHUD KAREN K KIYA YEH ILM GAIB NAHIN K HUZOOR (ALEH SALAAM) NE ZAINAB (RAZI ALLAH ANHU) ko Bataya k Woh Sab se Pehle HUZOOR (ALEH SALAAM) ko Milengi.. JazakALLAH
Continue
No comments:
Post a Comment