بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Shab e Baraat Special
Nabi e kareem rauf o Raheem ﷺ irshad farmate hai Shabaan ki 13vi shab ko bargaah e Khudawandi mein apni ummat ke liye shafa'at ki dua ki to 1/3 Ummatiyon ki Shafa'at Maqbool Huwi.
Phir 14vi shab mein dua ki to 2/3 ummatiyon ki shafa'at ataa ki gayi. Phir 15vi shab mein (yaani shab e baraat) mein dua ki to saari ummat ke haqq mein shafa'at qabool ho gayi.
Siwaye un na-farmaan bandon ke jo Allah subhan wa Ta'ala ki ita'at se oont (camel) ki tarah bidak kar bhaagte hai.
# Mukashifatul Quloob
Mehboob e Rabb e arsh ﷺ irshad farmate hai O Ayesha! jaanti ho iss raat (15vi shabaan) mein kya hota hai?
iss raat mein bani Aadam Alaihis Salam ka har paida hone wala aur faut hone wala (is faani duniya se kuch karna) likha Jaata hai.
Iss raat mein logon ke aamal Allah subhan wa Ta'ala ki bargaah mein pesh hote hai aur iss raat mein unka rizq naazil hota hai.
# Mishkat Shareef.
NA BANO WOH LOG JINHE REHMAT MILTI NAHI.
NEKIYO KO NIBHAAO AUR KARO HAR AMAL SAHI.
ISS SHAB KITNE GUNHEGAARO KO MILTI HAI AZAADI.
Achhe alam karo na bulao apni barbaadi
Hazrat Abu Moosa Ashari رضي الله عنه ka bayaan hai ki RasoolAllah ِﷺ ne irshaad farmaya,
"Allah subhan wa Ta'ala Shabaan ki 15 wi shab ko zuhoor farmata hai aur Mushrik aur chugalkhor ke alaawa sab ki bakhshish farma deta hai."
# Sunan Ibne Majah, jild 1, Baab Maaja a fi Lailatin Nisfi min Shabaan, page 399, Hadees no 1448.
➡ Shab e Baraat ko adaa karne ki khaas ibaadat.
14 rakaat namaaz. Namaaz ke baad Surah Fateha, Surah Ikhlaas, Surah Falaq, Surah Naas Har surah 14 Martaba padhi jaaye uske baad ek martaba Ayatal Kursi aur Surah Taubah ki Aayat No- 128 se Aakhir tak padhein. Phir Dua karey. Iss amal ka ajr 20 maqbool Hajj aur 20 saal ke maqbool Rozon ke barabar hai
# Baihaqi Shareef Hadees No. 3683.
No comments:
Post a Comment