بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Shab e Qadr ki taaq yaani maahe Ramadan ki 21 , 23 , 25 , 27 , 29 raato(n) mai qasrat se ye dua padhe
" Allahumma innaka Afuwun tuhibbul afva fa' affu Anna ya Kareem "
Allah Rabbul izzat iss mubarak mahine ki mubarak raato ke sadqe aur apne pyare mehboob ahmed e mujtaba Muhammed Mustafa ﷺ ke waseele se hum sab ke jaane anjaane me huwe har chhote bade gunaho ko maaf farmaye aur jis tarah iss maahe mubarak me hum zauq o shokh se nekiya karte hai issi tarah poora saal hame Nekiya karne ki taufeeq ataa farma.
آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ
JAB SHAB E QADR KI RAAT MEIN
IBADAT KARNA CHAHIYE
HUZOOR ﷺ KI DI HUWI DUA
IS RAAT ME PADHNA CHAHIYE
Huzoor Sarkar e do Aalam ﷺ ne irshad farmaya jabh shab e qadr hoti hai toh jibrael Alaihissalaam farishto ki ek jama'at ko lekar zameen par utarte hai aur har uss bande par jo khade ho kar ya baith kar Allah ﷻ ki yaad aur ibadat mein mashgul rehta hai uske liye dua e magfirat karte hai
# Baihiqi Shareef
Maula Tabarak wa Ta'ala hum sab ko lailatul qadr ke Sadke mein khoob khoob ibadat karne toufiqe ata farma aur hum sab ko baar baar apne pyare Habeeb ﷺ ke Rauze Mubarak ki ziyarat naseeb farma.
آميــــــــــــــــــــن يَارَبَّ الْعَالَمِين
IS MAHINE KI
EK KHAASIAT HAI
JO LAATI HAI EK RAAT
IS RAAT KI AHMIYAT KYA HAI
SUNLO HUZOOR ﷺ KI BAAT
No comments:
Post a Comment