Sawal: Kya Mushtahiq e zakaat ko cheque dene se uski zakaat adaa ho jayegi ya jab cheque ko cash kara kar mushtahiq us rakam par kabza Le le tab adaa hogi?
Jawaab: Cheque ke ta'alluk se tamaam tehqiqat ke baad ye baat wazeh hui ke cheque sirf sanad-e-zar aur certificate hai. Uski haisiyat currency note jaisi nahee hai dono mein kayi tarah ka fark hai
Lihaza cheque ka huqm currency note jaisa nahee hoga, jab tak wo bank se wasool na kare adaa na hui. Cheque sirf huqm naama hai kabza nahee.
huzoor SadrushShariáh Alaihir Rahma farmate hai "kisi par rupiye aate hai faqeer se keh diya us se wasool kar le aur niyyat zakaat ki kiya to uske kabza lene ke baad adaa hui.
~ Bahare shari'at Vol.5 page 24
isi tarah cheque ke liye bhi yahi huqm hoga ke maal par kabza ke baad zakaat adaa hogi.
➡ Tandrust ko zakaat de sakte hai agarche kamaane par kudrat rakhta ho magar us se sawaal karna jaiz nahee.
➡ Moti hira wagaira jawahar jiske paas ho aur tijarat ke liye na ho to uski zakaat waajib nahee magar jab nisaab ki qimat ke ho to zakaat le nahee sakta.
➡ Maa sayyedda ho aur baap Sayyed na ho to Sayyed nahee is liye ki sharah mein nisaab baap se hai lihaza aise shakhs ko zakaat de sakte hai jabki na dene ki koi wajah na ho.
#Qanoon e Shariat Page no. 238
Zakaat wagaira sadkaat mein afzal hai yeh ki pehle apne bhaiyo ko de fir unki aulaad ko fir chacha aur fufiyon ko fir unki aulaad fir mamu aur khaala ko fir unki aulaad ko fir apne gaon ya shaher walon ko.
Hadees mein hai ki
Allah Ta'ala uss shakhs ke sadke ko kabul nahi farmata jiske rishtedaar uske sulook karne ke mohtaaj ho aur yeh gairo ko de.
#Badmazhab ko zakaat dena jaiz nahi aur isi tarah unn murtadeen ko bhi dene se adaa na hogi jo zabaan se toh islam ka daawa karte hai lekin khuda ﷻ wa Rasool ﷺ ki shaan ghatate ya kisi aur zaruri deeni baat ka inkaar karte hai.
~ Qanoon e Shariat Page no 238/239
No comments:
Post a Comment