Aala hazrat رضي الله عنه 8 saal ki umr e paak mai ek arbi zabaan mai kitab likh kar sab ko hairan kar diya aap 13 saal 10 maah aur kuch din mai mufti ban gaye
Aala Hazrat رضي الله عنه ke mijaz takreer aur tehreer mein jo sakhti thi wo Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ ke gustakho ke liye thi. Wafadaro ke liye to aap abr e karam they.
Aala Hazrat رضي الله عنه ka zaahir aur baatin ek tha jo dil mein hota wahi zabaan se zaahir farmate aap ki kisi se dosti dushmani sirf Allah ﷻ aur Rasool ﷺ ke liye hoti.
Aala Hazrat رضي الله عنه ke yaha mehfil e meelad hoti to aap saadat e ikram ko dugna nazrana dete aur Saadat ka khoob ehteram karte.
Aur aap mureed bhi huwe to Marehra Shareef mein Huzoor Sayyad Aale Rasool Ahmadi رضي الله عنه se.
Sayyad Aale Rasool Ahmadi رضي الله عنه farmate hai muje badi fikr thi ke Allah Rabbul Izzat puchega ke Aale Rasool tu kya laaya hai to Main kya kahunga. Magar abh Main Maulana Ahmed Raza ko pesh kar dunga
Kisi shayar ne iss waqiye ko kya khoob bayaan kiya hai.
"Roz e mehshar agar mujse puche khuda,
Bol Aale Rasool tu laaya hai kya,
Arz kar dunga laaya hu Ahmed Raza
Ya khuda ye Amanat salamat rahe.
آمین بجاه شفیع المذنبین
Aalahazrat رضي الله عنه ki zindagi ka har gosha ittebaae sunnat ke anwaar se munawwar thhi aapki zaat ittebaa e sunnat main hazraat sahaba e kiraam ka namuna thhi.
Aapne bahut si murdah sunnaton ko zinda farmaya unhi main namaz e juma ki azaane saani hai, jisko aapne huzoor aur khulfae rashideen ki sunnat ke mutabeq khateeb ke saamne kharije masjid dilwaane ka riwaaj qaaem kiya.
Aalahazrat رضي الله عنه ne Sadrul Afaazil Maulana Sayyed Naeemuddin Muradabadi se farmaya
"Maulana tamanna to ye thi ke Ahmed Raza ke haath me talwaar hoti aur sarkar ki shaan me gustakhi karne waalo'n ki gardane hoti aur apne haath se un gustakho ka sar qalam karta , laikin talwaar se kaam lena to apne ikhtiyaar me nahi Haa Allah Taala ne Qalam ataa farmaya hai. To mai qalam se sakhti aur shiddat ke saath in be deeno ka radd is liye karta hu taake huzoore aqdas ki shaan me badzabani karne waalo ko apne khilaaf shadeed radd dekh kar unko mujh par gussa aae , phir jall bhun kar mujhe galiyan dene lagen aur mere aaqa ﷺ ki shaan me gaaliya bakna bhool jaen.
Isi tarah meri aur mere aaba o ajdaad ki izzato aabroo huzoore aqdas ki azmate jaleel ke liye qurban hojae..
No comments:
Post a Comment