async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Bait (mureed) hona kyu zaruri hai ?

Monday, November 16, 2015

Bait (mureed) hona kyu zaruri hai ?

S: Murshid O Rehnuma Kyu Zaruri Hai?

J: "Har Jama'at Ko Imam Ke Sath Bulayen Ge"
(Bani Israil Ayat#71)
Iske Elawa
Sura Kahaf Ayat#17 Se B Murshid Ki Haqiqat Sabit He
Lihaza Sahihul Aqida Namazi, Parhezgar Aur Kaamil Shakhs K Hath Pr Bait Krke Uske Hukum Par Chalna Chahye

Ibn e Umar (Allah inse razi) Farmate Hen:
Hum Nabi Paak (durood pak parhen) Ki Bait Kya Kartey
{Abu Dawood J2, H#1166, P#443}
Aurten Parda Me Zubani Ehad Karen

S: Kia Sahaba ne bhi bait ki?

J: Jareer Bin Abdullah Farmaty Hen
Ke Me Ne Aaqa (drood pak parhen) Sy
NAMAZ Qaaim Karny
ZAKAAT Dney
Aur Har Musalman Ke
Khair Khuwah Rehny Par Baiy'at Ki
(Bukhari V#1 H#497)

Sarkar Sahaba Sey
Jin Baato Par Baiy'at Letey They
Bad Qismati Sey
Aaj Ka Haakim Khud In Baato Ke Khilaf Hy

S: Jis ne bait ni ki uske bare me kia hukum hai?

J: Jo Shakhs Is Haalat Mey Maraa Ke Iski Garden Mey Kisi Ki Bait Nahi
Wo Jahaalat Ki Mout Mara
(Mishkat P#320)

S: Apne lie kesa peer o murshid talash krna chahye?

J: "Hamesha Sunni Sahih ul Aqeeda Aur Paband e Shariat Peer Sa Bait Ki Jaye,
Jo Masail Jaanta Ho
Aur Us Ka Silsila Huzur Alaihissalatu Wassalaam Tak Muttasil Ho,
Aur Bila Shuba Jaahil Faqeer Ka Mureed Hona Shetan Ka Mureed Hona He"
(Malfozat P#297)

S: Kia Peer-o-Mrshid ke lie kch sharait bhi hain?

J: G Han!
Peer Me 4 Sharait Hona Laazmi Hen

1> Sunni Saheehul Aqeeda Ho

2> IsKey Paas Fiqah Ka Itna Ilm Ho Key Apni Zarurat Key Tamaam Masaail Jaanta Ho Aur Koi Masail e Jadeeda Paish Aaye To
Iska Hukum Khud Kitaab Se Nikaal Sakey

3> Iska Silsila Syedul Ambiya Se Lekar Is Tak Key Tamam Buzurgon Ka Suboot Ho, Beech Me Koi Gayab Na Ho

4> Koi Aelaniya Gunaah Na Karta Ho
Aur Koi Sagheera Gunaah Ho Jaye
To Foran Touba Kary
(Fatawa Razavia Qadem V#9 P#114)

S: Kia Peer aur Mureed ke darmiyan bhi parda hai?

J: Aalahazrat Imam Ahmed Raza Farmatey Hen!
"Beshak Har Gair Mehram Se Parda Farz He Jiska ALLAH Aur Uske Rasool Ne Hukam Dya He.
Beshak Peer Mureeda Ka Mehhram Nahee Ho Jaata, Un Se Bhi Parda Laazim He"
(Masail e Sima'a P#32)

S: Tareeqat Kya hai?

J: Tareeqat, Tasawwuf, Roohaniyat
Teeno Ek Jesey Alfaaz Hen.
Jab Insan Shariyat Par Mukammal Amal Karne Lagy To
Shariyat Aur Islam Us Men Samaa Jaata Hai
Wo Mo'min Ke Zumrey Me Aajata Hai.
Yahan Se Tareeqat Shuru Hoti Hai

Tareeqat Se Murad Apni Manzil
Ya'ni ALLAH Ko Paana Hai

No comments:

Post a Comment