Fateha Or Esale Sawab Ka Bayan..
FATEHA Aur ISAL-E- SAWAB ka SUBUT
Ahle sunnat ke Sare Mohaddisin Aur Fukha Aur Tamam Aemma e Islam Aur Mashayakh e Tarikat ka Muttafika Aqida Hai ki...
Apne Har Amale khair ka Sawab kisi Bhi Momin ko Pahochaya ja Sakta Hai Isi ka Naam "ISAL-E - SAWAB" Hai.
Fateha--Urs Sharif--11 wi Sharif--khatme khwajga--Fateha Shabe barat--Fateha Moharram--Tija-40wa
Wagera Ye Sari Chize isale sawab Hi ki Alag Alag Shakle Hai.
Aur in sare kamo Me Quran Sharif ki Tilawat-Sadka khairat-Miskino ko khana khilana-Aur Zikro Azkar kiye jate Hai.
Fika e Hanfi ki Mustanad kitab "HIDAYA" Me Hai ki...
Ahle Sunnat ka Aqida Hai ki Aadmi Apne Amal ka Sawab Dusare Shakhs ko Bakhsh Sakta Hai.
Chahe Namaz ka Ho ya Roza ka Ho Ya Sadka ka Aur is ke Alawa kisi Bhi Amal e khair ka sawab
jayse Tilawate Quran Ya Zikr Wagera...
Sharah Fikh e Akbar Me Hai ki..
Imam e Aazam Abu Hanifa Aur imam Ahemad Bin Hambal Aur salfe salehin ka Mazhab Ye Hai ki..
"IBADAT BADNI AUR MALI KA SAWAB MURDO KO PAHOCHTA HAI"
Bukhari Aur Muslim Sharif ki Bahot si Riwayato Me Aaya Hai ki..
Aap SALLALLAHU ALAYHI WA SALLAM Ne Mukhtalif Moko Par khane ki chizo ko jama kar ke Apne Samne Rakha Aur Un Par Barkat ki Duwa Farmayi.
Hazrat Sa'ad Radiyallahu Anhu Ne jab Apni Maa ke isale sawab ke Liye kuwa Khudwaya Aur kuwa Tayyar Hogaya To Aap SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM kuwe Par Tashrif Le Gaye Aur Us ke Samne khade Ho kar Irshad Farmaya ki..
"is kuwe ka Pani sa'ad ki Maa ke isale sawab ke Liye Hai"
Khane ki chiz ko samne Rakh kar sawab Pahochane ki Garaz se Duwa karne ke Sabab Se Mazbut Dalil to Zabah e Qurbani ke Bad ki Ye Duwa Hai.
Fateha ke Munkir Bhi is par Amal karte Hai..
Aur
Wo Duwa Ye Hai jiski Talim khud Nabi e karim sallallahu Alayhi wa sallam Ne Di Hai
"ALLAHUMM TAKABBAL HAZEHIL UDHIYYATA MIN FULA"
"yani Ay Allah is Qurbani ka Janwar Fala ki Taraf Se kubul Farma"
HAZEHI→Arbi Zuban Me Samne ki chiz ke liye Bola Jata Hai.
is se Bhi Bakhubi Sabit Ho Gaya ki jis chiz ka sawab Pahochana Ho Ya jis Par kuch Padna Ho Us Chiz ko Samne Rahna Chahiye
No comments:
Post a Comment