Fazail E Sahaba Radi Allahu Anhuma Azmayeen
Sahabi Kahte Kisko Hai ?
Sahabi Woh Khushnasib Momin Hai Jinhone Imaan Wa Hosh Ki Halaat Me Ek Nazar Huzoor Nabi E Rahmat صلى الله عليه وسلم ko Dekha Ya Unhe Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Sohbaat Naseeb Huwi Ho Phir Imaan Par Khatmaa Bhi Naseeb Huwa Ho.
Masla 01 : Hazrat Sayyidna Abdullah Ibn Maktoom Radi Allaho Anho Aap Nabina The Chunki Aapne Jahiri Aankh Se Huzoor Nabi E Rehmat صلى الله عليه وسلم Ka Deedar Naa Kiya Par Huzoor Nabi E Rehmat Ki Sohbat Mili To Ye Bhi Sahabi Huwe.
Masla 02: Sahabi Hone K Liye Imaan Par Khatma Shart Hai Jo Log Pehle Imaan waale the baad Me Murtad Huwe Aur Musailma Kazzab Par Imaan Le Aaye Wo Sahabi Nahi Hai.
Masla 03 : Kisi Buzugr Ne Khwab Me Bajahir Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم K Wisaal k baad Huzoor صلى الله عليه وسلم Ko dekha Aur Imaan Pe Khatma Bhi huwa wo bhi sahabi naa kahlaynge.
Masla 04 : Sahabi Sirf wo hoga jo Aaka Alaihisalam ki jaahir zindgi me deedar kare yaa sohbat mile aur imaan pe khatma ho.
Sahabi Hone ki do ahem shart hai
1) Khatma Bil Khair Imaan ki halaat Me Aur Deedar E Rasool Allah صلى الله عليه وسلم Ho.
2)Khatma Bil Khair Imaan ki halaat Me Aur Sohbat E Rasool Allah صلى الله عليه وسلم Mile.
Sahaba E Kiram Rizwanallahi Taala Azmayeen Ka Darja
Har Nabi Alaihmusalam K Saathi Huwe jinhe Hawari Kaha Jata Hai Jis Tarah Huzoor Rehmat E Aalam Hazrat Muhammad صلى الله عليه وسلم Tamam Nabiyo Me Sabse Afzal Makam Rakhte Aur Sabke Sardaar Huwe, Aap ki Ummat Tamam Nabiyo Ki Ummat Me Sabki Sardaar huwi Us Tarah Aap Ki Ummat K Wali Auliya Ulema Bhi Sab Tamam Ummato k Auliya Ulma k Sardar Huwe Hai, Sahaba E Kiram Ka Makam Bhi Us tarah k Dunya Ki Tamam Ambiya Alaihumsalam k Hawarin se Badke Makam Aur Martaba Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم k Sahaba Huwe koi Gaus Kutoob Abdaal Kitna Hi Amal kare Kisi bhi Makam ko Pahoche Hatta k Aakhir Din tak Aane Waale Insaan Bhi Jama Hojaye to bhi Makam E Sahaba k Ird Gird nahi pahuch Sakte Hai Aur Ho Bhi Kyu Naa Unhe Sohbat Bhi To Tazdaar E Kaynaat Hazrat Muhammad Mustafa صلى الله عليه وسلم ki Mili Hai.
Aur Phir Tamam Sahaba Ka Bhi Darja Ek Jaisa Nahi Ahle Sunnat Wa Jamaat Ka Ispe Izma Hai k Ambiya Alaihisulam k baad sabse Bada Darja Sahaba E Kiram Ka Hai aur unme Sabse Awwal Ameerul Momineen Yaar Gaar E Mustafa Sayyidna Siddiq E Akbar Abu Bakq Siddiq Radi Allaho Anho phir Farooque E Aazam, Usman Zunnuraian Aur Phir Maula E Kaynat Tazdar E Hallata Maula Ali Mushkil Kusha Radi Allaho Anho Ka Makam Hai.
Phir Wo Ashra E Mubbashara 10 Khush Nasib Sahabi jinhe Dunya me Jannati Hone Ki Basharat Di Gyi, Baitur Rizwan Karne Waale Tamam Sahaba, Muhajireen jinhone Makkah E Muazama Se Madina E Munawaara Hizrat Ki ,Ashab E Badr, waale is trah fazilat aur Darje.
Quraan Aur Sahaba E Kiram Rizwanullahi Azmayeen
Quran E Mukaddas Me Jamat E Sahaba k Manakib Aur Fazail Me Beshumar aayat Mauzood Hai Ye Wo Mubarak Jamaat hai k jinko samjhe bina Quran Nahi Samjha Jaa sakta Hai Quran ki aayat Farman E Ilahi Aur Irshadat E Nabvi Ko Dunya Me Failane waale Jamat wo ye sahaba hai ki jamaat hai. Yaha Hum Kuch Aayat E Karima Fazail E Sahaba par pesh kar rhe hai.
Imaan Laana Hai par Kaise ?
Ayat 01 :
وَإِذا قيلَ لَهُم آمِنوا كَما آمَنَ النّاسُ قالوا أَنُؤمِنُ كَما آمَنَ السُّفَهاءُ
“Aur Jab Unse Kaha Jaaye Imaan Lao Jaise Aur Log Imaan Laaye To Kahe Kya Hum Ahmako Ki Tarah Imaan Le Aaye”
(Surah Baqrah Ayat : 13)
Is Aayat e Mubaraka Me Saaf Alfaz Me mauzood hai k ALLAH Irshad Farmata hai k Imaan leke aao ab Sawal hai kiski tarah laaye ?
Khud farmata hai Us tarah laao jis Tarah ye log Imaan Laaye ab Imaan Laane waale wo log kon the ? To wo Sirf Aur Sirf Wo Jamaat E Sahaba hai Jinke Imaan ko, aqaid ko hume Follow karna hai unke tarah imaan laana hai goya Hume Imaan laane pe bhi taqleed e Sahaba karni hai.
Sahaba K Imaan Par ALLAH Tabarakwatala ki MOHAR HAI.
Ayat 02 :
أُولٰئِكَ كَتَبَ في قُلوبِهِمُ الإيمانَ وَأَيَّدَهُم بِروحٍ مِنهُ ۖ وَيُدخِلُهُم جَنّاتٍ تَجري مِن تَحتِهَا الأَنهارُ خالِدينَ فيها ۚ
“Ye Hai Woh Log Jinke Dilon Me ALLAH Ne Imaan Naqsh Kar Diya Aur Apni Taraf Ki Rooh Se Inki Madad Farmayi Aur Inhein Baagon Mein Le Jayega Jinke Neeche Nehrein Beh Rahi Hai, Hamesha Rahenge Unmein”
(Surah Mujadilah Ayat 22)
Ayat E Karima Me Sahaba K Dilo Me Imaan K Naqsh hone ki baat kahi gayi ab Yaha Naqsh ka Kya Maana Hai Ek Misal Se samjhe Jab Deewar me kisi cheez ko tarash kar uspe Naqsh karde to wo mithaya nahi jaa sakta Is tarah Naqsh karda Imaan Sahaba Ka huwa aur ye naksh ALLAH tabarakwatala ne kiya Hai ab jinke Imaan ko ALLAH ne Naqsh kar diya jo Quran kahta hai aur ek khabis Ibn Saba yahudi Shia Grp ye kahe k Tamam Sahaba Nauzbillah Islam se phir gaye to ye kitni badi tauheen aur munafikat kufriya baat hai.
Sahaba Se ALLAH Razi Aur ALLAH Se Sahaba Razi Huwe
Ayat 03 :
رَضِيَ اللَّهُ عَنهُم وَرَضوا عَنهُ ۚ أُولٰئِكَ حِزبُ اللَّهِ ۚ أَلا إِنَّ حِزبَ اللَّهِ هُمُ المُفلِحونَ
“ALLAH Unse Razi Aur Aur Wo ALLAH Se Razi Uske Rahmat Aur Karam Se Yeh ALLAH ki Jamaaat Hai Sunta Hai ALLAH Hee Ki Jamaat Kamyab Hai ”
(Surah Mujadilah Ayat 22)
Jamat E Sahaba Se ALLAH raazi Huwa Aur Wo Log ALLAH se raazi huwe kamyab huwe Aur Is jamaat Ko HIZBULLAH kaha Gaya yaani ALLAH Ki jamaat Ab Koi Shia rafzi kahe k ye Hizbullah Naa the to yakinan wo aur Uska aqeeda Quran Se To milta nahi yaani wo tafarka baaj Fitna Parast Khatmal Hai Maloon Hai Jinka Islam Aur Quran se koi lena dena nahi hai.
ALLAH Se Dua Hai Hume Muhibbe ASHABUN NABI AUR AHLE BAIT KA MUHIB BANAYE.
Farmaan E Mustafa صلى الله عليه وسلم Sahaba K Fazail
Koi Kitna Hi Amal Karle Sahaba k Martabe Ko Nahi Paa Sakta
Hadees 01:
Hazrat Abu Hurraira Radi Allaho Anho se rivayat hai k Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne Irshad Farmaya
"Mere Sahaba Ko Bura Mat Kaho, Merey Sahaba Ko Bura Mat Kaho (Do Martaba Farmaya) Qasam Hey Us Zaat Ki Jis Key Qabza E Qudarat Me Meri Jaan Hai Agar Tum Mey Sey Koi Uhad Pahaad Ke Baraabar Bhi Sona Kharch Kar Dey To Phir Woh Un Ke Ser Bhar Ya Us Sey Aadhey Key Baraabar Bhi Nahin Pahunch Sakta.”
References :
(Sahi Muslim, Vol 04, Pg : 134, Kitab No 44 – Fazail e Sahaba Radiallahu Anho Azmain, Baab No 54 Sahaba ko Bura Na kaho, Hadees : 3470)
(Sunan Abu Dawood, Vol : 04, Pg : 215, Book No 42 Kitab Al Sunnah Rasool Allah صلى الله عليه وسلم , Hadees : 4658)
(Sunan Tirmizi, Vol : 05, Pg : 695, Book No 49 Kitab Manakib Ana Rasool Allah صلى الله عليه وسلم, Hadees : 3861)
(Sunan ibn Majah, Vol : 01, Pg : 57, Kitab Al Mukaddam,Hadees : 161)
Note : Ye hadees Imam Abu Dawood aur Imam Tirmizi ne Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anho se rivayat ki.
Magar Afsos Sad Afsos Deobandi jamat ne akeeda gada Ummati Amal Me Nabi Se bad Sakta Hai. Astagifirullah.
Sahaba Ko Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Sohbat Ka Azr E Azeem
Hadees 02:
“Hazrat Nusair Bin Zu’look RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Kartey Hain Ke Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Farmaya Kartey They Ke Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ke Sahaba Kiram Ko Bura Mat Kaho Kyun Ke Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ki Sohbat Mey Guzara Huwa Un Ka Aik Lamha Tumharey Zindagi Bhar Key Aa’maal Sey Behtar Hey.
References :
(Sunan Ibn Majah, Vol :01,Pg : 57, Kitab Al Mukaddama, Hadees : 162)
(Imam Abi Shaybaah, Al Musannaf Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, Vol : 06 Pg : 405, Hadees : 32415)
(Imam Ibn Abi Asim As Sunnah, Vol : 02 Pg : 484, Hadees : 1006)
Jo Sahaba Ko Takleef Pahuchaye Usne Huzoor صلى الله عليه وسلم Ko Takleef Pahuchayi
Hadees 03:
“Hazrat Abdullah Bin Mughaffal رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Sey Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ney Farmaya :
˝Mere Sahaba Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ke Baarey Mey Allah Ta’ala Sey Daro, Allah Sey Daro Aur Merey Baad Inhey Tanqeed Ka Nishaana Na Banaana, Kyun Ke Jis Ney In Se Muhabbat Ki Us Ne Meri Wazah Se Un Se Muhabbat Ki Aur Jis Ne Un Se Bughz Rakha Us Ne Mere Bughz Ki Wazah Se Un Se Bughz Rakha Aur Jis Ne Unhey Takleef Pahunchaayi Us Ney Mujhey Takleef Pahunchaayi Aur Jis Ney Mujhey Takleef Pahunchaayi Us Ney Allah Ta’ala Ko Takleef Pahunchaayi Aur Jis Ney Allah Ta’ala Ko Takleef Pahunchaayi Anqareeb Allah Ta’ala Usey Pakreyga.”
References :
(Sunan Tirmizi, Vol : 05, Pg : 696, Book No 49 Kitab Manakib, Baab : Ana Rasool Allah صلى الله عليه وسلم, Hadees : 3862)
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal, Vol:05,Pg :54&57,Hadees -20549,20578)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 02, Pg : 191, Hadees : 1511)
(Imam Daylami Al Musnad Ul Firdaus, Vol : 01, Pg : 146, Hadees : 525)
Imam Tirmizi ne is hadees ko Hasan likha hai.
Sahaba k Mutallik Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Wasiyat Aur Nasihat
Hadees 04:
“Hazrat Jaabir Bin Samurah Radi Allaho Anho Sey Riwayat Hey Unhoney Bayan Kiya Key Hazrat Umar Radi Allaho Anho Ney Jaabiya Key Maqaam Par Hamey Khutba Diya, Phir Farmaya :
Hamarey Darmiyan Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Yoo’n Qiyam Farmatey They Jaisey Mey Tumharey Darmiyan Khara Hoo’n Aur Aap صلى الله عليه وسلم Ney Farmaya :
Mere Sahaba Ke Baarey Mey Meri Hifaazat Karo (Ya’ni Un Ki Izzato Ehteraam Karo.) (Aur Un Logon Ki Izzato Ehteraam Karo) Jo In Ke Baad Aaney Waaley Hain.
Phir (Un Logon Ki) Jo In Key Baad Aaney Waaley Hain.
Aur Hazrat Abdullah Bin Umar Radi Allaho Anho Sey Marwi Aik Riwayat Mey Farmaya :
Merey Sahaba Sey Achchha Sulook Karna.”
References :
(Sunan Ibn Majah Vol : 03,Pg : 353, Kitab Al Ahkaam, Hadees : 2363)
(Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Vol : 01, 98, Hadees : 144)
(Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 01, Pg : 187,188, Hadees : 388, 390)
(Imam Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, Vol : 06, Pg : 306, Hadees : 6483)
Sahaba Pe Tabbara Karne Waalo Par Lanaat
Hadees 05 :
“Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Sey Riwayat Hey Ke Rasoolullah صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya :
Jab Tum Un Logon Ko Dekho Jo Merey Sahaba Ko Bura Bhala Kahtey Hain To Tum (Unhey) Kaho Tumharey Sharr (Buraayi) Par Allah Ta’ala Ki Laanat Ho.”
References :
(Jamai Tirmizi, Vol : 05 : Pg : 697, Kitabul Manakib, Hadees : 3866)
(Imam Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, Vol :08, Pg : 191,Hadees : 8366)
(Daylami Musnad-ul-Firdaws, Vol : 01, Pg : 263, Hadees : 1022)
Huzoor صلى الله عليه وسلم Ka Farmaan Sahaba E Kiraam Rizwanullahi Azmayeen Sitaro Ki Manind Hai Jiski Pairwi Karoge Hidayat Paa Jaoge
Hadees 06:
Hazrat Umar ibn khattab Radi Allaho Anho se rivayat Hai Unhone Rasool ALLAH صلى الله عليه وسلم Ko Farmate Huwe Suna Nabi صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Maine Apne Rab Se Apne Sahaba Kay iktelaf k Muttalik Sawal Kiya Jo Mere Baad Hoga.
ALLAH Ne Meri Taraf Wahi Farmayi AYE Muhammad صلى الله عليه وسلم Tumhare Sahaba Mere Nazdik aise hai jaise aasman k sitaro ki manind hai inme baaj baaj pe afzal hai lekin sabke sab Nooroni Hai.
Aye Mehboob Agar Inme Baad me Ektelaf hojaye to jo inme se jiski pairvi
kare wo hidayat paa jayga. Phir Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Farmya Aye Logo jaan lo mere Sahaba Aasman me Chamakte Sitaro ki manind hai inme se jiski pairvi karoge hidayat Paa Jaoge.
References :
(Mishkat Al Masabih Vol : 03, Baab : Manakib e Sahaba,Hadess 5762)
(Imam Bayhaqi Vol : 01, Pg :162, Hadees : 152)
(Imam Daylami Al Musnad Ul Firdaus Vol : 04, Pg : 160, Hadees : 6497)
(Imam Zahbi Al Mizanul Aitedaal Vol : 02, Pg : 142)
(Khatib Bagdadi Al Kifaya Vol : 01, Pg : 48)
(Imam Abu Qadama Maqdisi Hambli Ne AL Mugni Vol : 03)
(Imam Ibn Katheer Tuhfatut Talib Vol : 01, Pg : 45)
No comments:
Post a Comment