async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Ghusl ka bayan aur masnoon tariqa aur masle masail

Monday, November 9, 2015

Ghusl ka bayan aur masnoon tariqa aur masle masail


Ghusl Ka Bayan Aur Masnoon Tariqa Wa Masle Masail
Ghusl:
Hamare Aaqa Sarkar-E-Do Aalam Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Jo Nahane Ka Tariqa Bataya Use Ghusl Kehte Hai. Is Tarah Nahane Se Insaan Ka Jism Paak Hota Hai. Jism Par Sirf Paani Baha Dena Ghusl Nahi.

● Ghusl Ki Kisme:
1. Farz Ghusl
2. Wajib Ghusl
3. Sunnat Ghusl
4. Mustahab Ghusl

1. Farz Ghusl:
Farze Ghusl 3 Hai.
Ghusl-E-Janabat, Ghusl Baade Inkita'ye Haiz Aur Ghusl Baade Inkita'ye Nifaas.

2. Wajib Ghusl:
Wajib Ghusl 2 Hai.
Zindao Par Murdo Ko Ghusl Dena Wajib Hai Aur Agar Kul Badan Najasat Aalood Ho Jaye Ya Badam Ke Kisi Hisse Par Najasat Lag Jaye Lekin Maqame Najasat Malum Na Ho To Ghusl Wajib Hai.

3. Sunnat Ghusl:
Sunnat Ghusl Fiqhe Hanafi Ke Najdik 5 Hai.
● Juma Ki Namaz Ke Liye
● Eid Ul Fitr Aur Eid Ul Azha Ke Liye
● Ehram-E-Hajj Ya Umra Ke Liye
● Araafat Me Theherne Ke Liye
● Islam Me Dakhil Hone Ke Waqt

4. Mustahab Ghusl:
Mustahab Ghusl 18 Hai.
● Deewangi, Gashi Aur Nasha Ki Sarmasti Door Hone Ke Baad
● Poochne Lagwane Ke Baad
● Shabaan Ki 15 Tarikh Ko
● 9 Zilhijja Ki Raat Ko
● Maqame Mujdalfa Me Thaherne Ke Waqt
● Zilhijja Me Kurbani Karne Ke Waqt
● Kankadiya Phekne Ke Liye Meena Me Dakhil Hote Waqt
● Tawafe Ziyarat Ke Liye Makkah Sharif Me Dakhil Hone Ke Waqt
● Shab-E-Qadr Me
● Suraj Aur Chand Ka Grahan Hone Ke Waqt
● Talab-E-Baarish Ki Namaz Ke Liye
● Kisi Khauf Ke Waqt
● Agar Sakht Aandhi Aa Jaye Ya Koi Aur Arzi Wa Samawi Aafat Ho To Usko Door Karne Ke Liye
● Madina Munawwarah Me Dakhil Hone Ke Waqt
● Naye Kapde Ya Safed Libas Pehenne Ke Waqt
● Murde Ko Ghusl Dene Ke Baad
● Safar Se Wapsi Ke Baad

● Ghusl Ki Niyat:
"Nawaitu An Agtasil Min Ghusli Lirfaa'il Hadsi"
Tarzuma:
"Niyat Ki Maine Ke Ghusl Karu Napaki Ko Door Karne Ke Liye"
Niyat Se Murad Dil Me Pakka Irada Kar Lena Hai Aur Zaban Se Kehna Afzal Hai. Aap Yu Bhi Niyat Kar Sakte Hai
"Niyat Ki Maine Ghusl Ki Napaki Ja Kar Paaki Aane Ke Liye"
Agar Kisine Ghusl Ki Niyat Na Ki Tab Bhi Ghusl Ho Jayega Magar Niyat Jarur Kare.

● Ghusl Ka Tariqa:
Ghusl Ki Dilme Niyat Kare Sath Hi Zaban Se Kahe To Afzal Hai. Ab Dono Hath Gatto(Kalaai) Tak 3 Martaba Achchi Tarah Dhoye. Fir Sharmgah Aur Uske Aas Pas Ke Hisso Ko Dhoye Chahe Waha Gandagi Lagi Ho Ya Na Ho. Fir Badan Par Jaha Najasat Lagi Ho Use Door Kare. Fir Wazoo Kare Yani 3 Bar Kulli Kare Ki Paani Halaq Ke Aakhri Hisse, Danto Ki Khindo, Masudo Me Wagairah Bah Jaye. Koi Chiz Danto Me Ataki Ho To Use Nikale. Ab 3 Martaba Naak Me Istarah Paani Dale Ke Naak Ke Aakhri Hisse(Haddi) Tak Pani Pohoch Jaye. Ab 3 Martaba Chehre Ko Istarah Dhoye Ke Peshani Se Le Kar Thuddi Tak Aur Ek Kaan Se Dusre Kaan Ki Lav Tak. Fir 3 Martaba Kohniyo Samet Hatho Par Paani Bahaye Fir Sar Ka Masah Kare. Ab Agar Aap Kisi Unchi Chiz Yani Chauki Ya Patthar Par Naha Rahe Hai To Pair Dhoye Warna Na Dhoye.
Fir Badan Par Tel Ki Tarah Paani Chupde. Fir 3 Martaba Dahine Modhe(Kandhe) Par Paani Bahaye Fir Baaye Modhe Par 3 Bar Paani Bahaye Fir Sar Aur Tamaam Badan Par 3 Martaba Paani Bahaye Aur Jism Malte Jaaye. Istarah Ki Jism Ka Koi Hissa Sukha Na Rahe. Sar Ke Balo Ki Jado Me, Bagal Me, Shargah Ke Har Hisse Me Sab Jagah Paani Pohochna Jaruri Hai. Agar Ungli Me Angoothi Ho To Ghuma Kar Paani Pohochaye. Aurate Apne Kaan Ki Bali, Naak Ki Nathni Wagaira Ko Ghuma Kar Paani Pohochaye. Aurate Sar Ke Baal Khol Le To Behtar Hai Warna Ye Ehtiyat Jaruri Hai Ki Sar Ke Baal Aur Sar Ki Jado Tak Paani Jarur Pohoche. Ab Aapne Wazoo Me Pair Na Dhoye Ho To Dhole. Ghusl Karte Waqt Koi Kalaam Ya Dua Na Padhe Aur Kibla Rukh Na Ho. Ab Aap Islami Shariat Ke Mutabiq Paak Ho Gaye. Ab Aap Saboon Wagairah Jo Bhi Jaiz Chiz Lagana Ho Laga Sakte Hai.
(Fatwa-E-Razviya Jild 2, Safa 18, Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 41)

● Faraiz-E-Ghusl:
Ghusl Me 3 Baate Farz Hai. Inme Se Koi Bhi Ek Rah Jaye To Ghusl  Na Hoga. Aur Na Nahanewale Ko Sunnate Mustafa Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Mutabiq Paakizgi Hasil Hogi.

1. Kulli Karna:
Kulli Is Tarah Ki Jaye Ki Muh Ke Andar Har Goshe Hont Se Halaq Ki Jad Tak Har Jagah Paani Bah Jaye. Masoode, Dant Ki Khidkiya, Jaban Ki Har Karwat Me, Halak Ke Kinare Tak Paani Bahe. Roza Na Ho To Garaara Kare Taki Paani Achchi Tarah Har Jagah Pohoche. Dant Me Koi Chiz Ataki Ho To Jab Tak Jarar Wa Harz Na Ho Chudana Jaruri Hai. Be Iske Ghusl Na Hoga Aur Be Ghusl Namaz Na Hogi.

2. Naak Me Paani Dalna:
Dono Nathuno Ka Jaha Tak Narm Hissa Hai Waha Tak Dhulna Ki Paani Ko Sungh Kar Chadhaye Taki Baal Barabar Bhi Jagah Dhulne Se Na Rah Jaye Warna Ghusl Na Hoga. Agar Bulaaq, Nath Ka Surakh Band Na Ho To Usme Bhi Paani Pohchana Jaruri Hai. Naak Ke Andar Rinth, Nakti Sukh Gayi To Uska Chudana Bhi Farz Hai. Aur Naak Ke Baal Ka Dhona Bhi Farz Hai.

3. Tamaam Jahiri Badan Dhona:
Sar Ke Baalo Se Pairo Ke Talwo Tak Jism Ke Har Hisse Par Paani Bah Jana Jaruri Hai Isliye Ki Agar Ek Baal Ki Nok Bhi Dhulne Se Rah Gayi To Ghusl Na Hoga.
(Sunni Bahishti Zewar Hissa 1, Safa 31, Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 42)

● Ehtiyaat-E-Ghusl:
1. Sar Ke Baal Gundhe Na Ho. Har Baal Par Jad Se Nok Tak Paani Bahana Jaruri Hai Aur Agar Gundhe Ho To Aurat Par Jade Bhiga Lena Jaruri Hai. Kholna Jaruri Nahi. Ha Agar Choti Itni Sakht Gundhi Ho Bekhole Jade Nahi Bhigengi To Kholna Jaruri Hai.
2. Kaano Me Baali Wagairah Zewaro Ke Surakh Ka Wahi Huqm Hai Jo Naak Ke Nath Ke Surakh Ka Huqm Hai. Unme Paani Pohochana Jaroori Hai.
3. Kaan Ka Har Purza Aur Uske Surakh Ka, Kaano Ke Piche Baal Utha Kar Paani Bahaye.
4. Thuddi Aur Gale Ka Jod Ki Be Uthaye Na Dhulega
5. Dono Bagale Ki Be Hath Uthaye Na Dhulengi
6. Baaho Ka Har Pahlu Aur Peeth Ka Har Jarrah
7. Pait Ki Zuriya Utha Kar Aur Naabhi Me Ungli Daal Kar Dhoye
8. Jangh Aur Pedoo Ka Jod Aur Jangh Pindli Ka Jod
9. Dono Chutad Ke Milne Ki Jagah
10. Jangho Ki Golaai Aur Pindliyo Ki Karwate
11. Dhalki Hui Pistan(Breast) Ko Utha Kar Dhoye
12. Pistan Aur Pet Ke Jod Ki Jagah
13. Sharmgah Ka Har Tukda Har Kona  Upar, Niche Dhyan Se Dhoya Jaye. Ha Andar Ungli Daal Kar Dhona Jaruri Nahi Hai, Mustahab Hai. Yuhi Haiz Wa Nifas Se Farig Ho Kar Ghusl Karti Hai To Ek Purane Kapde Se Andar Ka Khoon Saaf Karna Mustahab Hai. Laazmi Nahi.
14. Mathe Par Afshaa Chuni Ho To Uska Chudana Jaroori Hai. Yuhi Baalo Me Itna Gond Wagairah Laga Hai Ki Uske Hote Baal Achchi Tarah Na Bhigenge, To Uska Chudana Bhi Jaroori Hai Warna Ghusl Na Hoga.
(Sunni Bahishti Zewar, Durre Mukhtar, Raddul Muhtar, Bahare Shariat)

● In Baato Se Ghusl Farz Hota Hai:
1. Mani Ka Apni Jagah Se Shahwat Ke Sath Juda Ho Kar Uzwa Se Nikalna
2. Ehtelam(Nightfall) Yani Sote Me Mani Ka Nikal Jana
3. Sharmgah Me Hashfa (Mard Ke Uzoo-E-Tanasul Ka Supari Jaisa Hissa) Tak Chala Jaana Khwah Shahwat Se Ho Ya Bila Shahwat. Inzal Ho Ya Na Ho Dono Par Ghusl Farz Karta Hai.
4. Haiz Ya Maahwari Khoon Se Faragat Paana.
5. Nifaas Yani Bachcha Janne Par Jo Khoon Aata Hai Usse Farig Hona.
(Raddul Muhtar, Qanoon-E-Shariat)

7 comments:

  1. 1 kya hukka lene ke baad ghusl karna zaroori hai

    2 is ka matlab kya hai english me bayaan karde ....JAZAKALLAH

    Sharmgah Me Hashfa (Mard Ke Uzoo-E-Tanasul Ka Supari Jaisa Hissa) Tak Chala Jaana Khwah Shahwat Se Ho Ya Bila Shahwat. Inzal Ho Ya Na Ho Dono Par Ghusl Farz Karta Hai. 


    ReplyDelete
    Replies
    1. The insertion of glans Penis into the Vagina, with or without feeling of sex, whether ejaculation happen or not, it obligates Gusl (Bath) On The Couple.

      Delete
  2. Ap ka pahla sawal samjh me nahi aaya hukka se muraad kya hai ?

    ReplyDelete
  3. Ehtelam hune ke baad kapda kaise paak Karen batayen Jazak Allahu

    ReplyDelete