Agar aap haqiqat jan na chahte hai
to
zaroor padhe
....
(Hadees-e-pak Mafhum)
Rasoolallah(Sal llalaho Alaihiwasallam) Ki
badi Maroof aur Mashhoor Hadees-e-Pak hai
Jisme Sarkar (Alaihisalam) ne Sahaba Ikram
(Ridwanull ahi ta’alaalaihim ajmaeen) se
Farmaya:
“ Meri Ummat me 73 firke Honge..! 72
Jahannam me Jayenge..! Sirf ek Jannat me
Jayega..!” Sahaba Ikram ne Jab Arz kiya “ Ya
Rasoolallah(Sal llalaho Alaihiwasallam) , Vo
Jannati firka Kaun hai, Uski Pehchan kya hai ”
Huzoor(alaihisa lam) ne Farmaya: “Jis par
main hun Aur mere Sahabi hain” (Subhan
Allah).
Huzoor (Salllalaho Alaihiwasallam) Ka ye
Mubarak Javaab Kaabil-e-gaur hai, Aur Isme
Beshumar Hikmate bhari hui hai. Aur Agar Koi
shaks Is Hadees-e-Pak Ko Muhabbat Aur
Sachhe Dilse Se Samajh le to ZarurHaq Aur
Batil Ko Pehchaan lega..(Insha allah)
Jab Sahaba Ikram(Ridwanull ahi ta’ala alaihim
ajmaeen) ne SavaalKiya to Huzoor(Salllala ho
Alaihiwasallam) Ka itna farma dena hi Kaafi
tha ke “Jo Mere Raste Par chale,Vo Jannati
hai” Lekin Huzoor(Alaihisa lam) ne Yekyu
Farmaya “ Jis Par Main hun Aur mere Sahabi
hai”.
Isse Saaf Zahir Hogaya ke Huzoor(Salllala ho
Alaihiwasallam) ne Apni Deen-e-Haq ki
Pehchaan ke Liye Apne Sachhe Ghulamon
kaIntekhaab Farmaya..Tamam duniya walon
ko Zehen Diya Ae Logon, Mere Parda Farmane
ke Baad agar Deen-e-haq Sikhna Ho to Mere
Sahaba se Sikhna Aur Jo unke Khilaf ho to
Vohi Gumraah aur Badmazhab hai.
Isse Pata Chalta hai ke Deen e Haqki Pehchan
ke Liye Allah Ta’ala AurUske Pyare Habeeb ne
Har Daur me Apne Sachhe Ghulamon ka
Intekhaab Farmaya.
Jab Huzoor(Salllala ho Alaihiwasallam) ne
Hamari Ankho se Parda farmaya
“to Jannatiyon ki Pehchaan Sahaba Ikraam
hue,
Ek Daur Aya Jab Kalma Padne walon ne Zakat
ka Inkaar karna shuru kiya” To Haq ki Pehchan
Abu Bakr Siddiq hue”, Farooque Azam Hue,
Usman-e-Zunnura in Hue, Maula Ali Hue
(Ridwanullah ita’ala alaihim ajmaeen)
Yahi Nahi Jab Karbala Ka wakiya Pesh Aaya
Yazidi Bhi Usi Nabi ka kalma Padte
the,Bazahir Hukumatbhi Yazid ki thi, Tadaad
Yazid ke Paas thi “
Lekin Haq ki Pehchaan Husain-e-Azam Aur
unke 72 Afraad ke lashkar se hui”
Jab Sahaba Ikram ne Is Duniya-e-fani se
Parda Farmaya
to Jannatiyon ki Pehchaan “Tabaeen
Hue” ( Yani Jinhone Sahaba Ikram se Deen Ko
sikha)
Isi Tarah Se Kabhi Ek Daur me Deen –e-Haq ki
Pehchan Sarkar Gaus-e-Azam Huey, Kabhi
Sarkar Gareeb Nawaz Huey, Kabhi
SarkarMujaddid Alf-e-Saani Huey.
Allah Ta’ala ne apne Fazl se Zarurat ke Waqt
me Apne Deen ki Hifazat ke liye Apne Mehboob
Bando ko Paida Farmaya Aur unhike Naam Se
us Daur Me Deen-e-Haq ki Pehchaan Hoti
Rahi…
14vi Sadi me Jab Hind me Kuch gustakh firqon
ne Rasool-e-Azam,T amam Nabiyon ke Sardar
Muhammadur Rasool allah(Sallalaho
Alaihiwasallam) Ki Shaan me Gustakhiyan
karna Shuru kiya,
Aur Logon ko Ye Napak Zehen Dena Shuru
Kiya ke Nabi ka khayalNamaz me aaye To Vo
Namaz me Zina ke Khayal se bhi Badtar hai
(Ma’azallah) .
Aur Un Gustakhon ne yahan tak kaha ke Nabi
Marke Mitti me Mil gaye, Aur Nabi ka ILM-e-
Ghaib to Aisa hai Jaise Pagalon, Janwaro Ka
hai..(Ma’az Allah)
Logon ko Ye zehen diya ke sirf Allah Ta’ala ko
mano Rasooallah(Sall alaho Alaihiwasallam) ki
Tazeem ki koi Zarurat nahi!”(Ma’azall ah)
Jabke Sach to ye hai ke Sahaba Ikram ka to Ye
Amal tha Jab vo Namaz me Hote Aur Huzoor
(alaihisa laam) Unhe Bulateto Namaz Chor Kar
Huzoor Ki Bargah me Hazir Hote, Aur Phir
Lautne Par vahin se Rakat Padte jahan se vo
gaye the, Aur Unhe Aisa karne Ka Hukum Khud
Allah Ta’ala ne Quran Sharif me Diya hai”
Jabke Hadees –e-Pak me Hai Huzoor(sallalah
o Alaihiwasallam) Ne Farmaya: “Allah Ta’ala
Ne Mitti Par ye Haram kar diya hai ke vo
Nabiyon ke Jism ko khaye, Allah ke Nabi Zinda
Hai Aur Rizq Diye Jate Hain.”
Aur Aisi Beshumar Gustakhiyan JoKoi khula
Kafir bhi na kare, Vo Bazahir Kalma Padne
Wale Wahabi/ Deobandi ne kiya.
Aisa Badtar Mahol Paida hogaya tha, koi
(Ma’azallah) Allah Ta’ala ko Jhoot bolne par
qadir keh kar Allah Subhanwata’ala ki Shaan
me gustakhi kar raha tha…
Koi shia Bankar Sahaba Ikraam Ki shaan me
gustakhi kar raha tha, Koi Wahabi/ Deobandi
kehlakar Ahle Bait Ki shaan me gustakhi Kar
raha tha, Koi Nabiyon aur waliyon ke Ikthiyarat
ka Inkaar kar raha tha,
Jab Aise Jhoote Kalme Padne Wale, Jhooti
Namaz Padne Wale…Logon ka Imaan Barbaad
Kar rahe the Aur Allah ke mehboob bandon Ki
Azmat Aur Muhabbat Logon ke dilon se
Nikalrahe the…
To Allah Tabarak wa Ta’ala ne Phir Hum Par
Karam Farmaya AurApni Nabi Ki Azmat ka
Parcham Buland Farmane k Liye, Bareilly
Shareef ki Sar-Zameen Se IMAM AHMED
RAZA Ko Paida Farmaya”(Subhan Allah)
Vo IMAM AHMED RAZA Jisne Tamam
Gustakhon Ko ,Tamam Munkiron ko Quran
Sharif Aur Hadees-e-Pak Se Unke Jhoote
Aqeede ka Muh tod Javaab Diya, Aur
Rasoolallah (Sallalaho Alaihi Wasallam) ki
shaan me Gustakhi ki bina par Unka Kufr
Saabit kiya.Aur Sunniyat ki Haqqaniyat ka
parcham lehrayaa. Aur Rasoolallah (Sallalaho
Alaihi Wasallam) ki Azmate Bayan KarteHue
Ilm ka Darya Baha Diya…..
Aur Apne Aqa ki Bargah me Yu Arz Kiya :
“Tu Zinda Hai Valla Tu Zinda Hai Valla,
“Tu Zinda Hai Valla Tu Zinda Hai Valla,
Meri Chasme Alam Se chup Jaane Wale”
Aur Farmaya:
Ya RasoolAllah(Sal lalaho Alaihiwasallam)
“Aur Koi Gaib kya,Tumse Niha ho Bhala
Jab na khuda hi chupa..Tum Pe Karodon
Durood”
Aur Hum Jaise Karodon Musalamano Ke
Imaan o Aqeede Ki Hifazat ki Aur Unki Is
Khidmataur Baatil ko Benaqaab Karne
par,Arab-o-Ajam Yani Saari duniya ke Ulma-
e-Karam Ne aapko 14vi Sadi Ka Mujaddid
Karar Diya Aur Aapko“ALAHAZRAT
Thursday, November 5, 2015
Kon sa jamaat haq par hai janna hai to padhiye
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment