async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Shab e qadr

Thursday, November 12, 2015

Shab e qadr

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Shab e Qadr ki taaq yaani maahe Ramadan ki 21 , 23 , 25 , 27 , 29 raato(n) mai qasrat se ye dua padhe

" Allahumma innaka Afuwun tuhibbul afva fa' affu Anna ya Kareem "

Allah Rabbul izzat iss mubarak mahine ki mubarak raato ke sadqe aur apne pyare mehboob ahmed e mujtaba Muhammed Mustafa ﷺ ke waseele se hum sab ke jaane anjaane me huwe har chhote bade gunaho ko maaf farmaye aur jis tarah iss maahe mubarak me hum zauq o shokh se nekiya karte hai issi tarah poora saal hame Nekiya karne ki taufeeq ataa farma.

 آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ

JAB SHAB E QADR KI RAAT MEIN
IBADAT KARNA CHAHIYE
HUZOOR ﷺ KI DI HUWI DUA
IS RAAT ME PADHNA CHAHIYE

Huzoor Sarkar e do Aalam ﷺ ne irshad farmaya jabh shab e qadr hoti hai toh jibrael Alaihissalaam farishto ki ek jama'at ko lekar zameen par utarte hai aur har uss bande par jo khade ho kar ya baith kar Allah ﷻ ki yaad aur ibadat mein mashgul rehta hai uske liye dua e magfirat karte hai

# Baihiqi Shareef

Maula Tabarak wa Ta'ala hum sab ko  lailatul qadr ke Sadke mein khoob khoob ibadat karne toufiqe ata farma aur hum sab ko baar baar apne pyare Habeeb ﷺ ke Rauze Mubarak ki ziyarat naseeb farma.

آميــــــــــــــــــــن يَارَبَّ الْعَالَمِين

IS MAHINE KI
EK KHAASIAT HAI
JO LAATI HAI EK RAAT
IS RAAT KI AHMIYAT KYA HAI
SUNLO HUZOOR ﷺ KI BAAT

No comments:

Post a Comment