Nabi alaihesalam ne Masjid-e-Nabwi se Munafiq logo ko naam lekar munafiq kaha aur masjid se bahar nikal diya.
Yeh waqia jo hai, uska zikr kuch riwayaton me aaya hai.
Arabic Matn (Musnad Ahmad bin Hanbal – Jild 5, Safah 273):
عن عبد الله بن عمر قال: خطب رسول الله صلى الله عليه وسلم الناس، فقال: «أخرجوا عني هؤلاء النفر»، وسماهم بأسمائهم، قال: فخرجوا، كأن على رؤوسهم الطير، فقام عمر بن الخطاب، فدخل المسجد، فقال: ما شأن الناس؟ قالوا: أمر النبي صلى الله عليه وسلم بإخراج هؤلاء النفر، فقال عمر: أخرجهم الله، فخرجوا أذلة صغرة.
Rasoolullah ﷺ ne ek baar khutba diya aur 36 munafiqeen ke naam lekar unhein masjid se nikaalne ka hukm diya. Woh log itne khamoshi se nikle jaise unke saron par parinday baithe ho – yaani bohot zaleel aur sharminda hokar.
Phir Hazrat Umar ibn Khattab (RadiAllahuAnhu) masjid me aaye aur poocha: “Logon ko kya hua?” To unse kaha gaya: “Rasoolullah ﷺ ne kuch logon ko masjid se nikaalne ka hukm diya.” Hazrat Umar (RadiAllahuAnhu) ne is par farmaya:
"Allah inhein door kare, yeh zaleel ho kar nikle."
Is riwayat ka asal reference hai:
Musnad Ahmad (Jild 5, Safah 273)
aur
Mu'jam al-Kabir (Riwayat no. 687, Jild 17)
5 comments:
kala hazrat
subhanAllah
Mashallah Maslak E Ala Hazrat Zindabaad
JazakAllah
Lagta hai tu v munafiqo ki awlaad me se hai gaddaar kahi ka 😡
Post a Comment