async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Post 54

Thursday, November 5, 2015

Post 54

Post #54

Batao ki 2 baar Nuzl kis liye hua ? Huzur Alaihissalam ko toh pehle Nuzul se ilm haasil ho chuka tha aur har saal mahe ramzan me Jibrael ameen Huzur Alaihissalam ko saara Quran sunate .

Mukadhma Nurul-Anwar taarif e Kitaab me hai , Batao yeh Nuzul kyo’n tha balki Quran se maalum hota hai ki Huzur ko tamam aasamani kitabo’n ka pura ilm tha , rab taala farmata hai .

Tarjuma : Yani a ahle kitab tumhare paas humare woh Rasul aa gaye jo tumhari bahut se chupi hui kitaab ki baato’n ko zaahir farmate hai aur bahut se dar guzar farmate hai , agar Huzur Alaihissalam ke ilm me saari qutub aasamani nahi toh unka zaahir farmana ya na farmana kya maani , haqeeqat yeh hai ki Huzur Alaihissalam awwal hi se quran ke aarif the magar qurani ahkam Nuzul se pehle jaari na farmaya , isliye Bukhari ki pehli hadees me hai ki Hazrat Jibrael ne gaare hira me pehli baar aakar arz kiya “ikra” aap padiye , yeh na arz kiya ki fala aayat padiye aur padho usi se kehte hai jo jaante ho , Huzur Alaihissalam ne farmaya “ma anaa bekare’in” me nahi padhne wala yaani me toh padhane wala hu ,padh toh pehle hi liya hai ,lauh e mehfooz me Quran hai aur lauh e mehfooz Huzur Alaihissalam ke ilm me pehle hi se hai , aap wiladat se pehle Nabi sahbe quran hai bagair wahi ke Nubuwat kaisi ? Lihaza manna hoga ki qable wiladat hi quran ke aarif hai .

Aaj bhi bahut bacche haafiz paida hote hai ,Hazrat isa ne paida hote hi farmaya “Ataaniyal-kitab” rab ne mujhe kitab di .

Maalum hua ki abhi se kitab ko jaante hai , baaz paighambaro’n ke liya farmaya “aataynahool-hukma sabiyan” , humne unhe bachpan hi se ilm hikmat di , Huzur ne paida hote hi sajda karke ummat ki shafa’at ki , halaki sajda aur shafa’st hukme Qurani hai , Gaus paak ne mahe ramzan me Maa ka doodh na piya , yeh Hukum Qurani hai , Nurl-anwaar ke khutba me khalk ki bahes me hai .

Maalum hua ki Quran per amal karna Huzur Alaihissalam ki paidaishi aadat hai , hamesha halima dai ka ek ppistan pak chusa ,dusra bhai k liye choda , yeh adal wa insaf bhi qurani huum hai , agar ibtida se quran ke aarif nahi toh yeh amal kaise farma rahe hai .

3 ) Deobandiyo’n ka ek mashur etraaz yeh bhi hai ki tumhari pesh karda aayato’n ke ummoom se laazim aata hai ki Huzur ka ilm rab ke barabar ho magar tum in aayato’n me qayamat tak ki qaid lagate hi “Ma lam takun taalam” na toh qayamat ki qaid hai na “ma kaana” aur “ma yakun” ka zikr , aur ek dafa khas hone se ainda khususka darwaza khul jaata hai , dekho qutub e usool lihaza humne in aayato’n me ahkaame shariah ki qaid lagate hai , yaani usse sirf sharai ahkam murad hai .

Jawaab : Iska yeh hai ki yaha aayat me takhsis nahi balki akli ist’sana hai kyo’ki rab ka ilm gair mutnahi hai makhluq ka dimag gair mutnahi uloom nahi le sakta burhan ibtaale tasalsul wagairah se lihaza mutnahi hoga ,Ahadees se pata laga ki qayamat tak ki Huzur ne khabar di iliye daawa kiya gaya , ist’sana ka aur hukum hai takhsis ka hukum dusra , dekho “Akimussalata” se bacche diwana , haiza kharij hai , yeh takhsis nahi balki ist’sana hai

Ye last post hai
Agar ap ne is page ke 2 ya 4 post padhen hain to mai ap se guzarish karta hun ke ap post #1 se shuru kare padhna aur last tak padhe ek baar me nahi padh sakte to khali vaqto me padhiye
jazak Allahu khair

No comments:

Post a Comment