بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Zakaat ka Bayan
Allah ﷻ farmata hai falah paate woh hai jo zakaat ada karte hai. Aur farmata hai jo kuch tum kharch karoge Allah Ta'ala uski jagah aur dega aur Allah ﷻ behtar rozi dene wala hai.
aur farmata hai jo log bukhl karte hai uske saath jo Allah ﷻ ne apne fazal se diya hai woh yeh gumaan na kare ki yeh unke liye acha hai balki yeh unke liye bura hai.
# Masla :- Zakat farz hai iska munkir kaafir, na dene wala fasik, aur qatl ka mustahik, aur adaa karne mai der karne wala gunahgaar aur mardud us shahadat.
# Qanoon e Shariat
Page no- 220
Us chiz ka (Jiss maal ki zakaat na adaa ki gayi) qayamat ke din unke gale mai tauk daala jayega jinke saath bukhl kiya aur farmata hai jo log sona chaandi jama karte hai aur use Allah ﷻ ki raah mein kharch nahee karte unhe dardnaak azaab ki khushkhabari suna do...
... jis din jahannam ki aag mein tapaye jayenge aur inse unki peshaaniyan aur karwate aur peeth daagi jayengi aur unse kaha jayega yeh woh hai jo tumne apne nafs ke liye jama kiya tha to ab chakho jo jama karte the.
Masla :- Zakaat shariat mein isko kehte hai ki Allah ke liye maal ke ek hisse ka jo Shari'at ne muqarrar kiya hai uska musalmaan, faqeer ko malik bana de.
# Qanoon e Shariat Page no- 220
Mubah Kar Dene Se Zakaat Ada Na Hogi Maslan Fakeer Ko Zakat Ki Niyyat Se Khaana Khila Diya To Zakaat Na Hogi Isliye Ki Yeh Malik Kar Dena Na Huwa Haa Agar Khaana De De Ki Chahe Khaaye Ya Le Jaaye To Ada Ho Gayi Yuh Hi Zakaat Ki Niyyat Se Kapda De Diya To Adaa Ho Gayi.
➡Malik Karne Mein Bhi Yeh Zaruri Hai Ki Aise Ko Zakaat Do Jo Kabza Karna Jaanta Ho Yani Aisa Na Ho Jo Fek De Ya Dhoka Khaaye Nahi To Adaa Na Hogi Jaise Chote Bacche Ya Pagal Ko Zakat Dene Se Adaa Na Hogi Jis Bacche Ko Itni Akl Na Ho Toh Uski Taraf Se Uska Baap Jo Fakeer Ho Woh Kabza Kare Ya Uss Bacche Ka Wasi Ya Woh Jiski Nigraani Mein Hai Woh Kabza Kare.
# Qanoon E Shariat Page no- 220-221
As salam o alaikum wa Rahmatullah o barkatahu. Account me kuch rakam hai. Jiska zakaat dena hai. Us rakam ka zakaat ek saal bhad dena hoga ya abhi?
ReplyDeleteAgar Ek Saal ho gaye hai Tab Zakaat dena hoga warna Nahi
ReplyDelete