async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Zakaat ka bayaan 2

Thursday, November 12, 2015

Zakaat ka bayaan 2

Zakaat waajib hone ke liye chand sharte.
1⃣ Musalmaan hona
2⃣ Baligh hona
3⃣ Aaqil hona
4⃣ Aazad hona
5⃣ Malike nisaab hona
6⃣ Poore taur par malik hona
7⃣ Nisaab ka dein se farig hona
8⃣ Nisaab ka haajat-e-asliya se farig hona
9⃣ Maal ka naami hona
�� Saal guzarna.

Kaafir par Zakaat waajib nahee agar koi Kaafir musalmaan huwa to usse yeh huqm na diya jayega ke ki kufr ke zamane ki Zakaat adaa karein.

# Na baligh par Zakaat waajib nahee.

# Poore taur par maal ka malik ho yaani uss par kabza ho toh Zakaat waajib hai warna Nahee.

# Qanoon E Shariat Page No 221.

Maznoon (pagal) par zakaat waajib Nahee jab tak junoon (pagalpan) poore saal ko gher le aur agar saal ke awwal ya akhir mein accha ho jaata hai chahe beech saal mein na accha ho toh zakaat waajib aur junoon agar asli ho yaani junoon hi ki aalam mein baloog huwa to uska saal hosh aane se shuru hoga.

Yaani agar junoon aarzi hai magar poore saal gher liya to tab ifaaka hoga uss waqt se saal ki ibteda hogi.

Nisaab ke kaam mein zakaat waajib Nahee yaani jitne maal mein Shari'at ne zakaat muqarar ki hai is se kam maal ka malik hai toh zakaat waajib nahee.

# Qanoon e Shari'at Page No 221

Jo Maal Ghum Gaya Ya Pani Mein Gir Gaya Ya Kisi Ne Gasb Kar Liya Aur Uske Paas Gasb Ke Gawah Nahee Ya Jungle Mai Dafan Kar Diya Tha Aur Yeh Yaad Na Raha Ki Kaha Dafan Kiya Tha Ya Anjaan Ke Paas Amanat Rakhi Thi Aur Yeh Yaad Na Raha Ki Woh Kaun Hai Ya Madyun Ne Dene Se Inkaar Kar Diya Aur Uske Paas Gawah Nahee Phir Yeh Maal Mil Gaya Toh Jab Tak Na Mila Tha Uss Zamana Ki Zakat Waajib Nahee.

Agar Dain Aise Par Hai Jo Dain Ka Ikraar Karta Hai Magar Adaa Mein Deir Karta Hai Ya Nadaar Hai Ya qaazi Ke Yaha Iske Muflis Hone Ka Huqm Ho Chuka Hai Ya Woh Munkir Hai Magar Uske Paas Gawah Maujood Hai Toh Jab Maal Milega Guzre Huwe Saalo Ki Bhi Zakaat Waajib Hai.

#Qanoon E Shariat Page No :220-221

Lihaza hame Zakaat Ke Masaeel Ko bariki Se Samajna Chahiye Aur Kisi tarah Ki koi kami na ho isska Ahtiyaat rakhna chahiye

Koi shakhs Nisaab ka malik hai magar uss par itna dein (karz) hai ki dein adaa karne ke baad nisaab nahee rehti toh zakaat waajib nahee chahe dein banda ka ho Jaise karz, zare saman kisi chiz ka Tawana. Chahe khuda ka (Jaise zakaat khairaat).

Maslan koi shakhs sirf ek nisaab ka malik hai aur 2(do) saal guzar gaye ki zakat nahee di to sirf pehle saal ka zakaat waajib hai dusre saal ki nahee iss liye ki pehle saal ki zakaat toh uss par dein hai iske nikaalne ke baad nisaab baki nahi rehti lehaza dusre saal zakaat waajib nahee huwi.

Jo maal haajat e asliya ke alawa ho usme zakaat waajib hai jab ki woh nisaab ke barabar ho.

#Qanoon e Shariat Page No. 222

No comments:

Post a Comment