async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Zakaat ka bayaan 3

Thursday, November 12, 2015

Zakaat ka bayaan 3

Moti aur jawahar par zakaat waajib nahee agarche hazaaro ke ho, Haan agar tijarat ki niyat se liye to zakaat waajib ho gayi.

Jo shakhs nisaab ka malik hai agar darmiyan saal mein kuch aur maal barha to iss naye maal ka saal alag nahee baki, pehle maal ka khatam saal iske liye bhi khatme saal hai, agarche saal pura hone se ek hi minute pehle hasil hua ho.

Saal bhar tak khairaat karta raha iske baad niyyat ki
Ke jo kuch diya hai woh zakaat hai toh iss tarah zakaat adaa nahee huwi.

#Qanoon e Shariat Page No. 223

Zakaat ka rupya murda ki tajhij wa tadfeen ya masjid ki taamir mein nahee laga sakta isliye ki isme fakeer ko maalik kar dena nahi paya gaya.

Agar inn cheezo mein kharch karna chahe toh iska tarika yeh hai ki fakeer ko malik karde yeh fakeer kharch kare sawaab dono ko hoga

Hadees Mein Aaya Hai Agar 100 Haato Mein Paisa Guzra To Sabko Waisa Hi Sawaab Milega Jaise Dene Wale Ko Aur Iske Ajr Mai Koi Kami Na Hogi

#Ek hazaar ka maalik hai aur do hazaar ki zakaat di aur niyat yeh ki saal tamaam tak agar ek hazaar aur ho gaye to yeh uski hai warna aainda saal mai mahsoob hogi toh yeh jaiz hai.

# Qanoon e Shariat Page no:223-224

Zakaat kin logo ko di jaye

#Zakaat se masarif 7 hai
1⃣Fakeer
2⃣Miskeen
3⃣Aamil
4⃣Raqib
5⃣Gaarim
6⃣Fee sabilillah
7⃣ibnuss sabeel

# Fakeer woh aadmi hai jiske paas kuch ho, magar na itna ke nisaab ko pohuch jaaye ya nisaab ke barabar ho toh iski ijazat haajat asliya mein mustagrak ho.

# Miskeen woh hai jiske paas kuch na ho yaha tak ki khaane aur badan chupaane ke liye iska mohtaaj hai logo se sawaal kare.

#Qanoon e Shariat Page No:235

Zakaat kin logo ko di jaye

# Aamil woh hai jise badshaah e islam ne zakaat wa ushr wasool karne ke liye mukarar kiya ho usse kaam ke lihaaz se itna diya jaye ki usko aur uske madadgaaro ko mutvissat taur par kafi ho magar itna na diya jaaye ki jo wasool kar laaya hai uske aadhe se jyada ho jaye.

# Rakaab se muraad mukatab gulam ko dena ki iss maal e zakaat se badle kitaabat dekar apni gardan chudaye.

#Gaarim se muraad madyun hai yaani uss par itna dein (karz) ho ki usse nikaalne ke baad nisaab baki na rahe.

# Qanoon e Shariat Page no:235

No comments:

Post a Comment